Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq-e-bala-pur-shor-o-shar ne jab maidan mein KHam mara

Meer Taqi Meer

ishq-e-bala-pur-shor-o-shar ne jab maidan mein KHam mara

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    ishq-e-balā-pur-shor-o-shar ne jab maidān meñ ḳham maarā

    paak huī kushtī aalam aage kin ne dam maarā

    būd-nabūd apnī haqīqat likhne ke shā.ista na thī

    bātil saf.ha-e-hastī par maiñ ḳhat khīñchā qalam maarā

    ġhair ke mere mar jaane meñ tafāvut arz-o-samā hai

    maarā un ne donoñ ko lekin mujh ko kar ke sitam maarā

    un bāloñ se tilism-e-jahāñ dar basta thā goyā sab

    zulfoñ ko darham un ne kiyā so aalam ko barham maarā

    duur us qibla-rū se mujh ko jald raqīb ne maar rakhā

    qahr kiyā us kutte ne kyā dauḌ ke said-e-haram maarā

    kaaT ke sar aajiz un ne aur bhī pagḌī pher rakhī

    faḳhr kaun jāgah thī yaañ aisā kyā rustam maarā

    jis mizmār meñ rustam bhī raah na niklī 'mīr' kabhū

    us maidāñ ḳhaak pe ham ne jur.at kar ke qadam maarā

    ishq-e-bala-pur-shor-o-shar ne jab maidan mein KHam mara

    pak hui kushti aalam ki aage kin ne dam mara

    bud-nabud ki apni haqiqat likhne ke shaista na thi

    baatil safha-e-hasti par main KHat khincha qalam mara

    ghair ke mere mar jaane mein tafawut arz-o-sama ka hai

    mara un ne donon ko lekin mujh ko kar ke sitam mara

    un baalon se tilism-e-jahan ka dar basta tha goya sab

    zulfon ko darham un ne kiya so aalam ko barham mara

    dur us qibla-ru se mujh ko jald raqib ne mar rakha

    qahr kiya us kutte ne kya dauD ke said-e-haram mara

    kaT ke sar aajiz ka un ne aur bhi pagDi pher rakhi

    faKHr ki kaun si jagah thi yan aisa kya rustam mara

    jis mizmar mein rustam ki bhi rah na nikli 'mir' kabhu

    us maidan ki KHak pe hum ne jurat kar ke qadam mara

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1560
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now