Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq ko bich mein ya-rab tu na laya hota

Meer Taqi Meer

ishq ko bich mein ya-rab tu na laya hota

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    ishq ko biich meñ yā-rab na laayā hotā

    tan-e-ādmī meñ dil na banāyā hotā

    dil na thā aisī jagah jis na sudh liije kabhū

    ujḌī is bastī ko phir ne basāyā hotā

    izzat islām kuchh rakh ḳhudā ne varna

    zulf ne terī to zunnār bañdhāyā hotā

    ghar ke aage se tire na.ash ga.ī āshiq

    apne darvāze talak bhī to aaya hotā

    jo hai so be-ḳhud-e-raftār hai terā ai shoḳh

    is ravish se na qadam ne uThāyā hotā

    ab to sad-chand sitam karne lage tum ai kaash

    ishq apnā na tumheñ maiñ ne jatāyā hotā

    dil se ḳhush-tarah makāñ phir bhī kahīñ bante haiñ

    is imārat ko Tuk ik dekh ke Dhāyā hotā

    dil pe rakhtā huuñ kabhū sar se kabhū mārūñ huuñ

    haath paañv ko na maiñ tere lagāyā hotā

    kam-kam uThtā vo naqāb aah ki tāqat rahtī

    kaash yakbār hameñ muñh na dikhāyā hotā

    'mīr' iz.hār-e-mohabbat meñ gayā na tirā

    haa.e nādān bahut ne chhupāyā hotā

    ishq ko bich mein ya-rab tu na laya hota

    ya tan-e-admi mein dil na banaya hota

    dil na tha aisi jagah jis ki na sudh lije kabhu

    ujDi is basti ko phir tu ne basaya hota

    izzat islam ki kuchh rakh li KHuda ne warna

    zulf ne teri to zunnar bandhaya hota

    ghar ke aage se tere nash gai aashiq ki

    apne darwaze talak tu bhi to aaya hota

    jo hai so be-KHud-e-raftar hai tera ai shoKH

    is rawish se na qadam tu ne uThaya hota

    ab to sad-chand sitam karne lage tum ai kash

    ishq apna na tumhein main ne jataya hota

    dil se KHush-tarah makan phir bhi kahin bante hain

    is imarat ko Tuk ek dekh ke Dhaya hota

    dil pe rakhta hun kabhu sar se kabhu marun hun

    hath panw ko na main tere lagaya hota

    kam-kam uThta wo naqab aah ki taqat rahti

    kash yakbar hamein munh na dikhaya hota

    'mir' izhaar-e-mohabbat mein gaya ji na tera

    hae nadan bahut tu ne chhupaya hota

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0719
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now