kahte to hain ki hum ko uski talab nahin kuchh
kahte to haiñ ki ham ko us kī talab nahīñ kuchh
par jī usī ko apnā DhūñDe hai Dhab nahīñ kuchh
iḳhlās-o-rabt us se hotā to shor uThāte
lab tishna apne tab haiñ dilbar se jab nahīñ kuchh
yaañ e.atibār kariye jo kuchh vahī hai zāhir
ye kā.enāt apnī āñkhoñ meñ sab nahīñ kuchh
rakh muñh ko gul ke muñh par kyā ġhuncha ho ke so.e
hai shoḳh-chashm shabnam us ko adab nahīñ kuchh
dil ḳhuuñ na hove kyūñkar yaksar varā-e-ulfat
yā sābiqe bahut the yā us se ab nahīñ kuchh
ye haal be-sabab to hotā nahīñ hai lekin
rone kā lamha-lamha zāhir sabab nahīñ kuchh
kar ishq 'mīr' us kā maare kahīñ na jāveñ
jaldī mizāj meñ hai us se ajab nahīñ kuchh
kahte to hain ki hum ko us ki talab nahin kuchh
par ji usi ko apna DhunDe hai Dhab nahin kuchh
iKHlas-o-rabt us se hota to shor uThate
lab tishna apne tab hain dilbar se jab nahin kuchh
yan eatibar kariye jo kuchh wahi hai zahir
ye kaenat apni aankhon mein sab nahin kuchh
rakh munh ko gul ke munh par kya ghuncha ho ke soe
hai shoKH-chashm shabnam us ko adab nahin kuchh
dil KHun na howe kyunkar yaksar wara-e-ulfat
ya sabiqe bahut the ya us se ab nahin kuchh
ye haal be-sabab to hota nahin hai lekin
rone ka lamha-lamha zahir sabab nahin kuchh
kar ishq 'mir' us ka mare kahin na jawen
jaldi mizaj mein hai us se ajab nahin kuchh
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1242
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.