kal josh-e-gham mein aansu Tapke na chashm-e-tar se
kal josh-e-ġham meñ aañsū Tapke na chashm-e-tar se
afsos hai ki aakar yuuñ miiñh Tuk na barse
kyā hai numūd-e-mardum jo kahiye dekhiyo tum
mizhgāñ baham zadan meñ jaatī rahī nazar se
ham sā shikasta-ḳhātir is bastī meñ na hogā
barse hai ishq apne dīvār aur dar se
ma.alūm aglī sī to jur.at alam-kashī meñ
kyā kaam niklegā ab TukḌe hue jigar se
ā.īna-dār usī ke paate haiñ shash-jihat ko
dekheñ to muñh dikhāve vo kām-e-jāñ kidhar se
mat ranj khīñch mil kar hushiyār mardumāñ se
us kī ḳhabar milegī ik aadh be-ḳhabar se
jab gosh-zad ho us ke tab be-dimāġh ho vo
bas ho chukī tavaqqo ab nāla-e-sahar se
ai rashk-e-mah kabhū tū aa chāñd sā nikal kar
muñh dekhne ko terā tā-chand koī tarse
chāhat burī balā hai kal 'mīr'-e-nāla-kash bhī
ham-rāh-e-nai-savārāñ dauḌe phire nafar se
kal josh-e-gham mein aansu Tapke na chashm-e-tar se
afsos hai ki aakar yun minh Tuk na barse
kya hai numud-e-mardum jo kahiye dekhiyo tum
mizhgan baham zadan mein jati rahi nazar se
hum sa shikasta-KHatir is basti mein na hoga
barse hai ishq apne diwar aur dar se
malum agli si to jurat alam-kashi mein
kya kaam niklega ab TukDe hue jigar se
aaina-dar usi ke pate hain shash-jihat ko
dekhen to munh dikhawe wo kaam-e-jaan kidhar se
mat ranj khinch mil kar hushiyar marduman se
us ki KHabar milegi ek aadh be-KHabar se
jab gosh-zad ho us ke tab be-dimagh ho wo
bas ho chuki tawaqqo ab nala-e-sahar se
ai rashk-e-mah kabhu tu aa chand sa nikal kar
munh dekhne ko tera ta-chand koi tarse
chahat buri bala hai kal 'mir'-e-nala-kash bhi
ham-rah-e-nai-sawaran dauDe phire nafar se
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1283
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.