kam-fursati-e-gul jo kahen koi na mane
kam-fursatī-e-gul jo kaheñ koī na maane
aise ga.e ayyām-e-bahārāñ ki na jaane
the shahr meñ ai rashk-e-parī jitne siyāne
sab ho ga.e haiñ shor tirā sun ke divāne
ham-rāh javānī ga.e hangāme uThāne
ab ham bhī nahīñ ve rahe nai ve haiñ zamāne
piirī meñ jo baaqī nahīñ jaame meñ to kyā duur
phaTne lage haiñ kapḌe jo hote haiñ purāne
marte hī sune ham ne kasal-mand-e-mohabbat
is dard meñ kis kis ko kiyā naf.a davā ne
hai kis ko mayassar tirī zulfoñ kī asīrī
shāne ke nasīboñ meñ the yuuñ haath bañdhāne
Tuk aañkh bhī kholī na za-ḳhud-rafta ne us ke
har-chand kiyā shor qayāmat ne sirhāne
lohe ke tave haiñ jigar-e-ahl-e-mohabbat
rahte haiñ tire tīr-e-sitam hī ke nishāne
kaahe ko ye andāz thā e'rāz-e-butāñ kā
zāhir hai ki muñh pher liyā ham se ḳhudā ne
in hī chamanoñ meñ ki jinhoñ meñ nahīñ ab chhāñv
kin kin ravishoñ ham ko phirāyā hai havā ne
kab kab mirī izzat ke liye baiThe ho Tuk paas
aa.e bhī jo ho to mujhe majlis se uThāne
paayā hai na ham ne dil-e-gum-gashta ko apne
ḳhaak us kī sar-e-rāh kī koī kab ta.iiñ chhāne
kuchh tum ko hamāre jigaroñ par bhī nazar hai
aate jo ho har shām-o-sahar tiir lagāne
majrūh badan sang se tiflāñ ke na hote
kam jaate jo us kūche meñ par ham the divāne
aane meñ ta'allul hī kiyā āqibat-e-kār
ham jī se ga.e par na ga.e us ke bahāne
galiyoñ meñ bahut ham to pareshāñ se phire haiñ
aubāsh kisū roz lagā deñge Thikāne
kam-fursati-e-gul jo kahen koi na mane
aise gae ayyam-e-bahaaran ki na jaane
the shahr mein ai rashk-e-pari jitne siyane
sab ho gae hain shor tera sun ke diwane
ham-rah jawani gae hangame uThane
ab hum bhi nahin we rahe nai we hain zamane
piri mein jo baqi nahin jame mein to kya dur
phaTne lage hain kapDe jo hote hain purane
marte hi sune hum ne kasal-mand-e-mohabbat
is dard mein kis kis ko kiya nafa dawa ne
hai kis ko mayassar teri zulfon ki asiri
shane ke nasibon mein the yun hath bandhane
Tuk aankh bhi kholi na za-KHud-rafta ne us ke
har-chand kiya shor qayamat ne sirhane
lohe ke tawe hain jigar-e-ahl-e-mohabbat
rahte hain tere tir-e-sitam hi ke nishane
kahe ko ye andaz tha e'raaz-e-butan ka
zahir hai ki munh pher liya hum se KHuda ne
in hi chamanon mein ki jinhon mein nahin ab chhanw
kin kin rawishon hum ko phiraya hai hawa ne
kab kab meri izzat ke liye baiThe ho Tuk pas
aae bhi jo ho to mujhe majlis se uThane
paya hai na hum ne dil-e-gum-gashta ko apne
KHak us ki sar-e-rah ki koi kab tain chhane
kuchh tum ko hamare jigaron par bhi nazar hai
aate jo ho har sham-o-sahar tir lagane
majruh badan sang se tiflan ke na hote
kam jate jo us kuche mein par hum the diwane
aane mein ta'allul hi kiya aaqibat-e-kar
hum ji se gae par na gae us ke bahane
galiyon mein bahut hum to pareshan se phire hain
aubash kisu roz laga denge Thikane
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0597
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.