Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis kane jaun ilahi kya dawa paida karun

Meer Taqi Meer

kis kane jaun ilahi kya dawa paida karun

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    kis kane jā.ūñ ilāhī kyā davā paidā karūñ

    dil to kuchh dhañskā jaatā hai karūñ so kyā karūñ

    lohū rotā huuñ maiñ har ik harf-e-ḳhat par ham-damāñ

    aur ab rangīn jaisā tum kaho inshā karūñ

    chaal apnī chhoḌtā hargiz nahīñ vo ḳhush-ḳhirām

    shor se kab tak qayāmat ek maiñ barpā karūñ

    maslahat hai merī ḳhāmoshī meñ ai ham-nafas

    lohū Tapke baat se jo hoñT apne karūñ

    dil pareshānī mujhe de hai bikhere gul ke rang

    aap ko juuñ ġhuncha kyūñkar aah maiñ yakjā karūñ

    ek chashmak chalī jaatī hai gul merī or

    ya.anī bāzār-e-junūñ meñ jā.ūñ kuchh saudā karūñ

    ḳhvār to āḳhir kiyā hai galiyoñ meñ ne mujhe

    to sahī ai ishq jo tujh ko bhī maiñ rusvā karūñ

    ḳhaak uḌātā ashk-afshāñ aan niklūñ maiñ to phir

    dasht ko dariyā karūñ bastī ke tiiñ sahrā karūñ

    ka.abe jaane se nahīñ kuchh shaiḳh mujh ko itnā shauq

    chaal vo batlā ki maiñ dil meñ kisū ke karūñ

    ab ke himmat sarf kar jo us se uchTe mirā

    phir duā ai 'mīr' mat kariyo agar aisā karūñ

    kis kane jaun ilahi kya dawa paida karun

    dil to kuchh dhanska hi jata hai karun so kya karun

    lohu rota hun main har ek harf-e-KHat par ham-daman

    aur ab rangin jaisa tum kaho insha karun

    chaal apni chhoDta hargiz nahin wo KHush-KHiram

    shor se kab tak qayamat ek main barpa karun

    maslahat hai meri KHamoshi hi mein ai ham-nafas

    lohu Tapke baat se jo honT apne wa karun

    dil pareshani mujhe de hai bikhere gul ke rang

    aap ko jun ghuncha kyunkar aah main yakja karun

    ek chashmak hi chali jati hai gul ki meri or

    yani bazar-e-junun mein jaun kuchh sauda karun

    KHwar to aaKHir kiya hai galiyon mein tu ne mujhe

    to sahi ai ishq jo tujh ko bhi main ruswa karun

    KHak uData ashk-afshan aan niklun main to phir

    dasht ko dariya karun basti ke tin sahra karun

    kabe jaane se nahin kuchh shaiKH mujh ko itna shauq

    chaal wo batla ki main dil mein kisu ke ja karun

    ab ke himmat sarf kar jo us se ji uchTe mera

    phir dua ai 'mir' mat kariyo agar aisa karun

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0877
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now