koi nahin jahan mein jo andohgin nahin
koī nahīñ jahāñ meñ jo andohgīñ nahīñ
is ġham-kade meñ aah dil-e-ḳhush kahīñ nahīñ
kartā hai abr da.avā-e-dariyā-dilī abas
dāman nahīñ mirā tū mirī āstīñ nahīñ
aage tū la.al-e-nau ḳhat-e-ḳhūbāñ ke dam na maar
har chand ai masīh ve bāteñ rahīñ nahīñ
ye dard us ke kyūñke karūñ dil-nashīñ ki aah
kahtā huuñ jis tarah se kahe hai nahīñ nahīñ
māthā kiyā hai sarf-e-sujūd-e-dar-e-butāñ
mānind māh-e-nau ke mirī ab jabīñ nahīñ
kahtā huuñ hāl-e-dil to kahe hai ki mat bake
kyoñ na.iiñ tirī to baat mire dil-nashīñ nahīñ
ghar ghar hai mulk-e-ishq meñ dozaḳh kī tāb-o-tab
bhaḌkā na ham ko shaiḳh ye ātish yuhīñ nahīñ
zaa.e.a kiyā maiñ apne ta.iiñ tū ne kī ḳhushī
be-mehr kyūñke jāniye tujh meñ ki kiiñ nahīñ
fikr-e-buland se maiñ kiyā āsmāñ use
har-yak se 'mīr' ḳhuub ho ye vo zamīñ nahīñ
koi nahin jahan mein jo andohgin nahin
is gham-kade mein aah dil-e-KHush kahin nahin
karta hai abr dawa-e-dariya-dili abas
daman nahin mera tu meri aastin nahin
aage tu lal-e-nau KHat-e-KHuban ke dam na mar
har chand ai masih we baaten rahin nahin
ye dard us ke kyunke karun dil-nashin ki aah
kahta hun jis tarah se kahe hai nahin nahin
matha kiya hai sarf-e-sujud-e-dar-e-butan
manind mah-e-nau ke meri ab jabin nahin
kahta hun haal-e-dil to kahe hai ki mat bake
kyon nain teri to baat mere dil-nashin nahin
ghar ghar hai mulk-e-ishq mein dozaKH ki tab-o-tab
bhaDka na hum ko shaiKH ye aatish yuhin nahin
zaea kiya main apne tain tu ne ki KHushi
be-mehr kyunke jaaniye tujh mein ki kin nahin
fikr-e-buland se main kiya aasman use
har-yak se 'mir' KHub ho ye wo zamin nahin
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0304
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.