kyunkar mujhko nama-namat har harf pe pech-o-tab na ho
kyūñkar mujh ko nāma-namat har harf pe pech-o-tāb na ho
sau sau qāsid jaan se jāveñ yak ko udhar se javāb na ho
gul ko dekh ke gulshan ke darvāze hī se phir aayā
kyā mil baiThiye us se bhalā jo sohbat hī kā baab na ho
mastī ḳharābī sar par laa.ī kā'be se uTh dair gayā
jis ko ḳhudā ne ḳharāb kiyā ho phir vo kyūñke ḳharāb na ho
ḳhal'-e-badan karne se 'āshiq ḳhush rahte haiñ is ḳhātir
jān-o-jānāñ ek haiñ yā'nī biich meñ tan jo hisāb na ho
ḳhashm-o-ḳhitāb jabīñ par chiiñ to husn hai gul-ruḳhsāroñ kā
vo mahbūb ḳhunuk hotā hai jis meñ nāz-o-‘itāb na ho
maiñ ne jo kuchh kahā kiyā hai hadd-o-hisāb se afzūñ hai
roz-e-shumār meñ yārab mere kahe kiye kā hisāb na ho
sabr balā-hā-e-'ishqī par hausle vaale karte haiñ
rahmat hai us ḳhasta jigar ko dil jis kā betāb na ho
jis shab gul dekhā hai ham ne sub.h ko us kā muñh dekhā
ḳhvāb hamārā havā huā hai logoñ kā sā ḳhvāb na ho
nahreñ chaman kī bhar rakkhī haiñ goyā bāda-e-lā’liñ se
be-aks-e-gul-o-lāla ilāhī in jūyoñ meñ aab na ho
us din maiñ to mastāna hotā huuñ koī kūcha-gada
jis din kāsa-e-chobīñ meñ mere yak jur'a bhī sharāb na ho
tah-dārī kuchh dīda-e-tar kī 'mīr' nahīñ kam dariyā se
joshāñ shor-kunāñ aa jaave ye sho'la sailāb na ho
kyunkar mujh ko nama-namat har harf pe pech-o-tab na ho
sau sau qasid jaan se jawen yak ko udhar se jawab na ho
gul ko dekh ke gulshan ke darwaze hi se phir aaya
kya mil baiThiye us se bhala jo sohbat hi ka bab na ho
masti KHarabi sar par lai ka'be se uTh dair gaya
jis ko KHuda ne KHarab kiya ho phir wo kyunke KHarab na ho
KHal'-e-badan karne se 'ashiq KHush rahte hain is KHatir
jaan-o-jaanan ek hain ya'ni bich mein tan jo hisab na ho
KHashm-o-KHitab jabin par chin to husn hai gul-ruKHsaron ka
wo mahbub KHunuk hota hai jis mein naz-o-‘itab na ho
main ne jo kuchh kaha kiya hai hadd-o-hisab se afzun hai
roz-e-shumar mein yarab mere kahe kiye ka hisab na ho
sabr bala-ha-e-'ishqi par hausle wale karte hain
rahmat hai us KHasta jigar ko dil jis ka betab na ho
jis shab gul dekha hai hum ne subh ko us ka munh dekha
KHwab hamara hawa hua hai logon ka sa KHwab na ho
nahren chaman ki bhar rakkhi hain goya baada-e-la’lin se
be-aks-e-gul-o-lala ilahi in juyon mein aab na ho
us din main to mastana hota hun koi kucha-gada
jis din kasa-e-chobin mein mere yak jur'a bhi sharab na ho
tah-dari kuchh dida-e-tar ki 'mir' nahin kam dariya se
joshan shor-kunan aa jawe ye sho'la sailab na ho
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1714
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.