mara zamin mein gaDa tab isko sabr aaya
maarā zamīñ meñ gaaḌā tab is ko sabr aaya
is dil ne ham ko āḳhir yuuñ ḳhaak meñ milāyā
us gul-zamīñ se ab tak ugte haiñ sarv-e-mā.il
mastī meñ jhukte jis par terā paḌā hai saayā
yaksāñ hai qatl-gah aur us kī galī to mujh ko
vaañ ḳhaak meñ maiñ loTā yaañ lohū meñ nahāyā
puuje se aur patthar hote haiñ ye sanam to
ab kis tarah itā.at in kī karūñ ḳhudāyā
tā-charḳh naala pahuñchā lekin asar na dekhā
karne se ab duā ke maiñ haath hī uThāyā
terā hī muñh take hai kyā jāniye ki nau-ḳhat
kyā bāġh-e-sabz tū ne ā.īne ko dikhāyā
shādābī-o-latāfat hargiz huī na is meñ
terī masoñ pe garche sabze ne zahr khāyā
āḳhir ko mar ga.e haiñ us kī hī justujū meñ
jī ke ta.iiñ bhī khoyā lekin use na paayā
lagtī nahīñ hai daarū haiñ sab tabīb hairāñ
ik rog maiñ basāhā jī ko kahāñ lagāyā
kah hech us ke muñh ko jī meñ Darā yahāñ tū
baare vo shoḳh apnī ḳhātir meñ kuchh na laayā
honā thā majlis-ārā gar ġhair kā tujhe to
mānind-e-sham.a mujh ko kaahe ke tiiñ jalāyā
thī ye kahāñ kī yaarī ā.īna-rū ki tū ne
dekhā jo 'mīr' ko to be-hech muñh banāyā
mara zamin mein gaDa tab is ko sabr aaya
is dil ne hum ko aaKHir yun KHak mein milaya
us gul-zamin se ab tak ugte hain sarw-e-mail
masti mein jhukte jis par tera paDa hai saya
yaksan hai qatl-gah aur us ki gali to mujh ko
wan KHak mein main loTa yan lohu mein nahaya
puje se aur patthar hote hain ye sanam to
ab kis tarah itaat in ki karun KHudaya
ta-charKH nala pahuncha lekin asar na dekha
karne se ab dua ke main hath hi uThaya
tera hi munh take hai kya jaaniye ki nau-KHat
kya bagh-e-sabz tu ne aaine ko dikhaya
shadabi-o-latafat hargiz hui na is mein
teri mason pe garche sabze ne zahr khaya
aaKHir ko mar gae hain us ki hi justuju mein
ji ke tain bhi khoya lekin use na paya
lagti nahin hai daru hain sab tabib hairan
ek rog main basaha ji ko kahan lagaya
kah hech us ke munh ko ji mein Dara yahan tu
bare wo shoKH apni KHatir mein kuchh na laya
hona tha majlis-ara gar ghair ka tujhe to
manind-e-shama mujh ko kahe ke tin jalaya
thi ye kahan ki yari aaina-ru ki tu ne
dekha jo 'mir' ko to be-hech munh banaya
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0024
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.