mata-e-dil is ishq ne sab jala di
matā-e-dil is 'ishq ne sab jalā dī
koī din hī meñ ḳhaak sī yaañ uḌā dī
dalīl is bayābāñ meñ dil hī hai apnā
na ḳhizr-o-balad yaañ na rahbar na haadī
mizājoñ meñ yaas aa ga.ī hai hamāre
na marne kā ġham hai na jiine kī shādī
na pūchho ki chhātī ke jalne ne āḳhir
'ajab aag dil meñ jigar meñ lagā dī
vafā log aapas meñ karte the aage
ye rasm-e-kuhan aah tum ne uThā dī
judā un ġhazālān-e-shahrī se ho kar
phire ham bagūle se vādī-ba-vādī
sabā us taraf ko chalī jal ga.e ham
huā ye sabab apne marne kā baadī
vo nusḳha jo dekhā baḌhā rog dil kā
tabīb-e-mohabbat ne kaisī davā dī
mile qasr jannat meñ pīr-e-muġhāñ ko
hameñ zer-e-dīvār-e-mai-ḳhāna jā dī
na ho 'ishq kā shor tā 'mīr' hargiz
chale bas to shahroñ meñ kariye munādī
mata-e-dil is 'ishq ne sab jala di
koi din hi mein KHak si yan uDa di
dalil is bayaban mein dil hi hai apna
na KHizr-o-balad yan na rahbar na hadi
mizajon mein yas aa gai hai hamare
na marne ka gham hai na jine ki shadi
na puchho ki chhati ke jalne ne aaKHir
'ajab aag dil mein jigar mein laga di
wafa log aapas mein karte the aage
ye rasm-e-kuhan aah tum ne uTha di
juda un ghazalan-e-shahri se ho kar
phire hum bagule se wadi-ba-wadi
saba us taraf ko chali jal gae hum
hua ye sabab apne marne ka baadi
wo nusKHa jo dekha baDha rog dil ka
tabib-e-mohabbat ne kaisi dawa di
mile qasr jannat mein pir-e-mughan ko
hamein zer-e-diwar-e-mai-KHana ja di
na ho 'ishq ka shor ta 'mir' hargiz
chale bas to shahron mein kariye munadi
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0963
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.