mera dil pir-o-murshid hai mujhe hai etiqad us se
mirā dil pīr-o-murshid hai mujhe hai e'tiqād us se
farāmosh aap ko karnā mohabbat meñ hai yaad us se
balā andāz hai us kā qayāmat naaz hai us kā
uThe fitne hazār us se hue lākhoñ fasād us se
nazākat jaisī hai vaisā hī dil bhī saḳht hai us kā
agarche shīsha-e-jāñ hai pe behtar hai jamād us se
kase haiñ band un ne kaise kis darvesh se miliye
jo aise saḳht uqdoñ kī talab kariye kushād us se
bhalā yuuñ ghuT ke mariye kab talak dil ḳhuuñ huā saarā
jo koī dād-gar hove to kariye jā ke daad us se
lage hī ek do rahte haiñ mohlat baat kī kaisī
huā hai dushmanoñ ko kuchh qayāmat ittihād us se
pahuñch kar tah ko ham to mahz mahrūmī hī paate haiñ
murād-e-dil ko pahuñchā hogā koī nā-murād us se
liye hī myaan se rahtā hai koī ye nahīñ kahtā
nikālā hai kahāñ kā tū ne ai zālim ‘inād us se
idhar tauba kare hai 'mīr' udhar lagtā hai mai piine
kahāñ tak ab to apnā uTh gayā hai e'timād us se
mera dil pir-o-murshid hai mujhe hai e'tiqad us se
faramosh aap ko karna mohabbat mein hai yaad us se
bala andaz hai us ka qayamat naz hai us ka
uThe fitne hazar us se hue lakhon fasad us se
nazakat jaisi hai waisa hi dil bhi saKHt hai us ka
agarche shisha-e-jaan hai pe behtar hai jamad us se
kase hain band un ne kaise kis darwesh se miliye
jo aise saKHt uqdon ki talab kariye kushad us se
bhala yun ghuT ke mariye kab talak dil KHun hua sara
jo koi dad-gar howe to kariye ja ke dad us se
lage hi ek do rahte hain mohlat baat ki kaisi
hua hai dushmanon ko kuchh qayamat ittihad us se
pahunch kar tah ko hum to mahz mahrumi hi pate hain
murad-e-dil ko pahuncha hoga koi na-murad us se
liye hi myan se rahta hai koi ye nahin kahta
nikala hai kahan ka tu ne ai zalim ‘inad us se
idhar tauba kare hai 'mir' udhar lagta hai mai pine
kahan tak ab to apna uTh gaya hai e'timad us se
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0982
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.