muddat se to dilon ki mulaqat bhi gai
muddat se to diloñ kī mulāqāt bhī ga.ī
zāhir kā paas thā so mudārāt bhī ga.ī
kitne dinoñ meñ aa.ī thī us kī shab-e-visāl
bāham rahī laḌā.ī so vo raat bhī ga.ī
kuchh kahte aa ke ham to sunā karte ve ḳhamosh
ab har suḳhan pe bahs hai vo baat bhī ga.ī
niklī jo thī to bint-e-inab āsima hī thī
ab to ḳharāb ho ke ḳharābāt bhī ga.ī
ammāma jā-namāz ga.e le ke muġhbache
vaa.iz kī ab libāsī karāmāt bhī ga.ī
phirte haiñ 'mīr' ḳhaar koī pūchhtā nahīñ
is āshiqī meñ izzat-e-sādāt bhī ga.ī
muddat se to dilon ki mulaqat bhi gai
zahir ka pas tha so mudaraat bhi gai
kitne dinon mein aai thi us ki shab-e-visal
baham rahi laDai so wo raat bhi gai
kuchh kahte aa ke hum to suna karte we KHamosh
ab har suKHan pe bahs hai wo baat bhi gai
nikli jo thi to bint-e-inab aasima hi thi
ab to KHarab ho ke KHarabaat bhi gai
ammama ja-namaz gae le ke mughbache
waiz ki ab libasi karamat bhi gai
phirte hain 'mir' KHar koi puchhta nahin
is aashiqi mein izzat-e-sadat bhi gai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 6, Ghazal No- 1888
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.