mue hum jis ki KHatir bewafa tha
mue ham jis kī ḳhātir bevafā thā
na jaanā un ne to yuuñ bhī ki kyā thā
muālij kī nahīñ taqsīr hargiz
maraz hī āshiqī kā lā-davā thā
na ḳhud-sar kyūñke hoñ ham yaar apnā
ḳhud-ārā ḳhud-pasand-o-ḳhud-satā thā
rakhā thā muñh kabhū us kunj-e-lab par
hamāre zauq meñ ab tak maza thā
na miliyo chāhne vāloñ se apne
na jaanā tujh se ye kin ne kahā thā
pareshāñ kar ga.ī fariyād-e-bulbul
kisū se dil hamārā phir lagā thā
mile barsoñ vahī begānagī thī
hamāre zo.am meñ vo āshnā thā
na dīvāne the ham se qais-o-farhād
hamārā taur-e-ishq un se judā thā
badan meñ sub.h se thī sansanāhaT
inhīñ sannāhaToñ meñ jī jalā thā
sanam-ḳhāne se uTh ka.abe ga.e ham
koī āḳhir hamārā bhī ḳhudā thā
badan meñ us ke hai har jaa.e dilkash
jahāñ aTkā kisū kā dil bajā thā
koī anqā se pūchhe naam terā
kahāñ thā jab ki maiñ rusvā huā thā
chaḌhī tyorī chaman meñ 'mīr' aaya
kalak-ḳhusp aaj shāyad kuchh ḳhafā thā
mue hum jis ki KHatir bewafa tha
na jaana un ne to yun bhi ki kya tha
mualij ki nahin taqsir hargiz
maraz hi aashiqi ka la-dawa tha
na KHud-sar kyunke hon hum yar apna
KHud-ara KHud-pasand-o-KHud-sata tha
rakha tha munh kabhu us kunj-e-lab par
hamare zauq mein ab tak maza tha
na miliyo chahne walon se apne
na jaana tujh se ye kin ne kaha tha
pareshan kar gai fariyaad-e-bulbul
kisu se dil hamara phir laga tha
mile barson wahi beganagi thi
hamare zoam mein wo aashna tha
na diwane the hum se qais-o-farhad
hamara taur-e-ishq un se juda tha
badan mein subh se thi sansanahaT
inhin sannahaTon mein ji jala tha
sanam-KHane se uTh kabe gae hum
koi aaKHir hamara bhi KHuda tha
badan mein us ke hai har jae dilkash
jahan aTka kisu ka dil baja tha
koi anqa se puchhe nam tera
kahan tha jab ki main ruswa hua tha
chaDhi tyori chaman mein 'mir' aaya
kalak-KHusp aaj shayad kuchh KHafa tha
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 6, Ghazal No- 1787
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.