na jurat hai na jazba hai na yari baKHt-e-bad se hai
na jur.at hai na jazba hai na yaarī baḳht-e-bad se hai
yahī be-tāqatī ḳhūñ-gashta dil ko mere kad se hai
jahāñ shatranj-bāzinda falak ham tum haiñ sab mohre
basān-e-shātir-e-nau zauq use mohroñ kī zad se hai
suḳhan karne meñ nastā’līq-goī hī nahīñ kartā
paḌheñ haiñ she'r koī ham so vo bhī shadd-o-mad se hai
huā sarsabz aage yaar ke sarv-e-gulistāñ kab
ki nisbat duur kī tuubā ko us ke naḳhl-e-qad se hai
likhā kab tak kareñ is sarzamīñ se aaphī ab jāveñ
hameñ milne kā shauq us ke ziyād ai 'mīr' had se hai
na jurat hai na jazba hai na yari baKHt-e-bad se hai
yahi be-taqati KHun-gashta dil ko mere kad se hai
jahan shatranj-bazinda falak hum tum hain sab mohre
basan-e-shatir-e-nau zauq use mohron ki zad se hai
suKHan karne mein nasta’liq-goi hi nahin karta
paDhen hain she'r koi hum so wo bhi shadd-o-mad se hai
hua sarsabz aage yar ke sarw-e-gulistan kab
ki nisbat dur ki tuba ko us ke naKHl-e-qad se hai
likha kab tak karen is sarzamin se aaphi ab jawen
hamein milne ka shauq us ke ziyaad ai 'mir' had se hai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1297
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.