naKHun se bul-hawas ka gala yunhi chhil gaya
nāḳhun se bul-havas kā galā yūñhī chhil gayā
lohū lagā ke vo bhī shahīdoñ meñ mil gayā
dil jam.a thā jo ġhuncha ke rañgoñ ḳhizāñ meñ thā
ai kyā kahūñ bahār gul-e-zaḳhm khil gayā
be-dil hue pe karte tadāruk jo rahtā hosh
ham aap hī meñ aa.e nahīñ jab se dil gayā
dekhā nahīñ pahāḌ-e-girāñ-sang yā subuk
zoroñ chaḌhā thā ishq meñ farhād pil gayā
shabnam kī sī numūd se thā maiñ araq araq
ya.anī ki hastī nang-e-adam thī ḳhajil gayā
ġham khīñchte hilā nahīñ jāgah se kyā karūñ
dil jā lage hai dam-ba-dam ūdhar hī hil gayā
sūrat na dekhī vaisī kushāda-jabīñ kahīñ
maiñ 'mīr' is talāsh meñ chīn-o-chigil gayā
naKHun se bul-hawas ka gala yunhi chhil gaya
lohu laga ke wo bhi shahidon mein mil gaya
dil jama tha jo ghuncha ke rangon KHizan mein tha
ai kya kahun bahaar gul-e-zaKHm khil gaya
be-dil hue pe karte tadaruk jo rahta hosh
hum aap hi mein aae nahin jab se dil gaya
dekha nahin pahaD-e-giran-sang ya subuk
zoron chaDha tha ishq mein farhad pil gaya
shabnam ki si numud se tha main araq araq
yani ki hasti nang-e-adam thi KHajil gaya
gham khinchte hila nahin jagah se kya karun
dil ja lage hai dam-ba-dam udhar hi hil gaya
surat na dekhi waisi kushada-jabin kahin
main 'mir' is talash mein chin-o-chigil gaya
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1567
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.