paDa tha shor jaisa har taraf us la-ubaali ka
paḌā thā shor jaisā har taraf us lā-ubālī kā
rahā vaisā hī hangāma mirī bhī zār-nālī kā
rahe bad-hāl suufī haal karte der majlis meñ
muġhannī se sunā misrā jo mere sher-e-hālī kā
nazar bhar dekhtā koī to tum āñkheñ chhupā lete
samāñ ab yaad hogā kab tumheñ vo ḳhurd-sālī kā
chamak yāqūt kī chaltī hai itnī duur kaahe ko
achambhā hai nazar-bāzoñ ko un hoñToñ kī laalī kā
phire bastī meñ rūyat kuchh nahīñ iflās se apnī
ilāhī hove muñh kaalā shitāb is dast-e-ḳhālī kā
dimāġh apnā to apnī fikr hī meñ ho chukā yaksar
ḳhayāl ab kis ko hai ai ham-nashīñ nāzuk-ḳhayālī kā
zalīl-o-ḳhvār haiñ ham aage ḳhūbāñ ke hamesha se
parekhā kuchh nahīñ hai ham ko in kī jhiḌkī gaalī kā
Daro chauñko jo chaspāñ iḳhtilātī tum se ho mujh ko
tashattut kyā hai merī duur kī is dekhā-bhālī kā
na pahuñchī jo duā-e-'mīr' vaañ tak to ajab kyā hai
'ulū-e-martaba hai bas-ki us dargāh-e-ālī kā
paDa tha shor jaisa har taraf us la-ubaali ka
raha waisa hi hangama meri bhi zar-nali ka
rahe bad-haal sufi haal karte der majlis mein
mughanni se suna misra jo mere sher-e-haali ka
nazar bhar dekhta koi to tum aankhen chhupa lete
saman ab yaad hoga kab tumhein wo KHurd-sali ka
chamak yaqut ki chalti hai itni dur kahe ko
achambha hai nazar-bazon ko un honTon ki lali ka
phire basti mein ruyat kuchh nahin iflas se apni
ilahi howe munh kala shitab is dast-e-KHali ka
dimagh apna to apni fikr hi mein ho chuka yaksar
KHayal ab kis ko hai ai ham-nashin nazuk-KHayali ka
zalil-o-KHwar hain hum aage KHuban ke hamesha se
parekha kuchh nahin hai hum ko in ki jhiDki gali ka
Daro chaunko jo chaspan iKHtilati tum se ho mujh ko
tashattut kya hai meri dur ki is dekha-bhaali ka
na pahunchi jo dua-e-'mir' wan tak to ajab kya hai
'ulu-e-martaba hai bas-ki us dargah-e-ali ka
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 6, Ghazal No- 1803
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.