phirta hai zindagi ke liye aah KHwar kya
phirtā hai zindagī ke liye aah ḳhvār kyā
us vahm kī numūd kā hai e.atibār kyā
kyā jāneñ ham asīr-e-qafas-zād ai nasīm
gul kaise baaġh kahte haiñ kis ko bahār kyā
āñkheñ ba-rang-e-naqsh-e-qadam ho ga.iiñ safed
phir aur koī is kā kare intizār kyā
sīkhī hai tarah sīna-figārī kī sab mirī
laa.e the saath chāk-e-dil aisā anaar kyā
sarkash kisū se aisī kudūrat rakhe vo shoḳh
ham us kī ḳhāk-e-rāh haiñ ham se ġhubār kyā
ne vo nigah chubhī hai na ve palkeñ gaḌ ga.iiñ
kyā jāniye ki dil ko hai ye ḳhaar ḳhaar kyā
letā hai abr ab ta.iiñ is nāhiye se aab
ro.e haiñ ham bhī barsoñ ta.iiñ zaar zaar kyā
āshiq ke dil se rakh na tasallī ki chashm-dāsht
hai barq paara ye ise aave qarār kyā
sohbat rahī bigaḌtī hī us kīna-var se aah
ham jānte nahīñ haiñ ki hotā hai pyaar kyā
maarā ho ek do ko to ho mudda.ī koī
kushtoñ kā us ke roz-e-jazā meñ shumār kyā
muddat se jarga jarga sar-e-tīr hiiñ ġhazāl
kam ho gayā hai yāroñ kā zauq-e-shikār kyā
paate haiñ apne haal meñ majbūr sab ko ham
kahne ko iḳhtiyār hai par iḳhtiyār kyā
āḳhir zamāna-sāzī se khoyā na vaqr-e-mīr
ye iḳhtiyār tum ne kiyā rozgār kyā
phirta hai zindagi ke liye aah KHwar kya
us wahm ki numud ka hai eatibar kya
kya jaanen hum asir-e-qafas-zad ai nasim
gul kaise bagh kahte hain kis ko bahaar kya
aankhen ba-rang-e-naqsh-e-qadam ho gain safed
phir aur koi is ka kare intizar kya
sikhi hai tarah sina-figari ki sab meri
lae the sath chaak-e-dil aisa anar kya
sarkash kisu se aisi kudurat rakhe wo shoKH
hum us ki KHak-e-rah hain hum se ghubar kya
ne wo nigah chubhi hai na we palken gaD gain
kya jaaniye ki dil ko hai ye KHar KHar kya
leta hai abr ab tain is nahiye se aab
roe hain hum bhi barson tain zar zar kya
aashiq ke dil se rakh na tasalli ki chashm-dasht
hai barq para ye ise aawe qarar kya
sohbat rahi bigaDti hi us kina-war se aah
hum jaante nahin hain ki hota hai pyar kya
mara ho ek do ko to ho muddai koi
kushton ka us ke roz-e-jaza mein shumar kya
muddat se jarga jarga sar-e-tir hin ghazal
kam ho gaya hai yaron ka zauq-e-shikar kya
pate hain apne haal mein majbur sab ko hum
kahne ko iKHtiyar hai par iKHtiyar kya
aaKHir zamana-sazi se khoya na waqr-e-mir
ye iKHtiyar tum ne kiya rozgar kya
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0698
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.