tark-e-libas se mere use kya wo rafta ranai ka
tark-e-libās se mere use kyā vo rafta ra.anā.ī kā
jaame kā dāman paañv meñ uljhā haath āñchal iklā.ī kā
paas se uTh chaltā hai vo to aap meñ maiñ rahtā hī nahīñ
le jaatā hai jā se mujh ko jaanā us harjā.ī kā
haal na merā dekhe hai na kahe se ta.ammul hai us ko
mahv hai ḳhud-ārā.ī kā yā be-ḳhud hai ḳhud-rā.ī kā
zāhir meñ ḳhurshīd huā vo nuur meñ apne pinhāñ hai
ḳhālī nahīñ hai husn se chhupnā aise bhī paidā.ī kā
yaad meñ us kī qāmat kī maiñ lohū ro ro suukh gayā
āḳhir ye ḳhamyāza khīñchā us ḳharch-e-bālā.ī kā
bād-e-marg charāġh na laave gor pe vo āshiq kī aah
jiite jī bhī daaġh hī thā maiñ us kī be-parvā.ī kā
chashm-e-vafā iḳhvān-e-zamāñ se saada ho so rakkhe 'mīr'
qissa hai mash.hūr-e-zamāna pahle donoñ bhaa.ī kā
tark-e-libas se mere use kya wo rafta ranai ka
jame ka daman panw mein uljha hath aanchal iklai ka
pas se uTh chalta hai wo to aap mein main rahta hi nahin
le jata hai ja se mujh ko jaana us harjai ka
haal na mera dekhe hai na kahe se tammul hai us ko
mahw hai KHud-arai ka ya be-KHud hai KHud-rai ka
zahir mein KHurshid hua wo nur mein apne pinhan hai
KHali nahin hai husn se chhupna aise bhi paidai ka
yaad mein us ki qamat ki main lohu ro ro sukh gaya
aaKHir ye KHamyaza khincha us KHarch-e-baalai ka
baad-e-marg charagh na lawe gor pe wo aashiq ki aah
jite ji bhi dagh hi tha main us ki be-parwai ka
chashm-e-wafa iKHwan-e-zaman se sada ho so rakkhe 'mir'
qissa hai mashhur-e-zamana pahle donon bhai ka
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1328
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.