Tuk naqab ulTo mat itab karo
Tuk naqāb ulTo mat itaab karo
kholo muñh ko ki phir ḳhitāb karo
āñkheñ ġhusse meñ ho ga.ī haiñ laal
sar ko chhātī pe rakh ke ḳhvāb karo
fursat-e-būd-o-bāsh yaañ kam hai
kaam jo kuchh karo shitāb karo
mahv-e-sūrat na aarsī meñ raho
ahl-e-ma.anī se Tuk hijāb karo
jhuuT us kā nishāñ na do yaaro
ham ḳharāboñ ko mat ḳharāb karo
muñh khule us ke chāñdnī chhiTkī
dosto sair-e-māhtāb karo
'mīr' jī rāz-e-ishq hogā faash
chashm har lahza mat pur-āb karo
Tuk naqab ulTo mat itab karo
kholo munh ko ki phir KHitab karo
aankhen ghusse mein ho gai hain lal
sar ko chhati pe rakh ke KHwab karo
fursat-e-bud-o-bash yan kam hai
kaam jo kuchh karo shitab karo
mahw-e-surat na aarsi mein raho
ahl-e-mani se Tuk hijab karo
jhuT us ka nishan na do yaro
hum KHarabon ko mat KHarab karo
munh khule us ke chandni chhiTki
dosto sair-e-mahtab karo
'mir' ji raaz-e-ishq hoga fash
chashm har lahza mat pur-ab karo
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 6, Ghazal No- 1864
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.