yar hai mir ka magar gul sa
yaar hai 'mīr' kā magar gul sā
ki sahar nāla-kash hai bulbul sā
yaañ koī apnī jaan do dushvār
vaañ vahī hai so hai tasāhul sā
dūd-e-dil ko hamāre Tuk dekho
ye bhī pur-pech ab hai kākul sā
shauq vaañ us ke lambe bāloñ kā
yaañ chalā jaa.e hai tasalsul sā
kab thī jur.at raqīb kī itnī
tum ne bhī kuchh kiyā taġhāful sā
ik nigah ek chashmak ek suḳhan
is meñ bhī tum ko hai ta.ammul sā
baare mastoñ ne hoshiyārī kī
de ke kuchh mohtasib kā muñh jhulsā
sharm aatī hai pohñchte ūdhar
ḳhat huā shauq se tarassul sā
TuuTī zanjīr-e-pā-e-'mīr' magar
raat sunte rahe haiñ ham ġhul sā
yar hai 'mir' ka magar gul sa
ki sahar nala-kash hai bulbul sa
yan koi apni jaan do dushwar
wan wahi hai so hai tasahul sa
dud-e-dil ko hamare Tuk dekho
ye bhi pur-pech ab hai kakul sa
shauq wan us ke lambe baalon ka
yan chala jae hai tasalsul sa
kab thi jurat raqib ki itni
tum ne bhi kuchh kiya taghaful sa
ek nigah ek chashmak ek suKHan
is mein bhi tum ko hai tammul sa
bare maston ne hoshiyari ki
de ke kuchh mohtasib ka munh jhulsa
sharm aati hai pohnchte udhar
KHat hua shauq se tarassul sa
TuTi zanjir-e-pa-e-'mir' magar
raat sunte rahe hain hum ghul sa
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0703
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.