Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zamin par main jo phenka KHat ko kar band

Meer Taqi Meer

zamin par main jo phenka KHat ko kar band

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    zamīñ par maiñ jo pheñkā ḳhat ko kar band

    bahut taḌpā kiyā juuñ murġh-e-par-band

    giraft-e-dil se nā-chārī hai ya.anī

    rahā huuñ baiTh maiñ bhī kar ke ghar band

    phañsā dil zulf-o-kākul meñ na pūchho

    paḌā hai nāgah aakar band par band

    sab us chashm-e-pur-nairang ke mahv

    magar un ne aalam nazar band

    chaman meñ kyūñke ham par-basta jāveñ

    buland az-bas-ki hai dīvār o dar band

    bahut paikān-e-tīr-e-yār TuuTe

    tamām aahan hai ab merā jigar-band

    huiiñ rone maan.e merī palkeñ

    bañdhā ḳhāshāk se sailāb par band

    kahā kyā jaa.e un hoñToñ ke aage

    hamārī lab-gazī hai ye shakar-band

    khule bandoñ na aayā yaañ vo aubāsh

    phirā moñDhe pe Daale beshtar band

    yahī auqāt haigī diid yaañ

    rakh apnī chashm ko shām-o-sahar band

    nuchā rahtā thā chehra jis se so ab

    garebāñ meñ hai vo dast-e-hunar band

    fan-e-ash.ār meñ huuñ pahlvāñ 'mīr'

    mujhe hai yaad is kushtī har band

    zamin par main jo phenka KHat ko kar band

    bahut taDpa kiya jun murgh-e-par-band

    giraft-e-dil se na-chaari hai yani

    raha hun baiTh main bhi kar ke ghar band

    phansa dil zulf-o-kakul mein na puchho

    paDa hai nagah aakar band par band

    sab us ki chashm-e-pur-nairang ke mahw

    magar ki un ne aalam ki nazar band

    chaman mein kyunke hum par-basta jawen

    buland az-bas-ki hai diwar o dar band

    bahut paikan-e-tir-e-yar TuTe

    tamam aahan hai ab mera jigar-band

    huin rone ki mane meri palken

    bandha KHashak se sailab par band

    kaha kya jae un honTon ke aage

    hamari lab-gazi hai ye shakar-band

    khule bandon na aaya yan wo aubash

    phira monDhe pe Dale beshtar band

    yahi auqat haigi did ki yan

    rakh apni chashm ko sham-o-sahar band

    nucha rahta tha chehra jis se so ab

    gareban mein hai wo dast-e-hunar band

    fan-e-ashaar mein hun pahlwan 'mir'

    mujhe hai yaad is kushti ka har band

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1126
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now