aamal ke sae to Darane mein lage hain
ā'māl ke saa.e to Darāne meñ lage haiñ
sarkār magar mujh ko bachāne meñ lage haiñ
hai rahmat-e-kaunain kī kaunain meñ aamad
'ushshāq dar-o-bām sajāne meñ lage haiñ
kasrat se jo paḌhte haiñ darūd-e-shah-e-bat.hā
vo log muqaddar ko jagāne meñ lage haiñ
hāthoñ meñ liye kausar-o-tasnīm ke sāġhar
vo tishna-labī sab kī bujhāne meñ lage haiñ
sarkār ke aane kī ḳhabar jab se milī hai
but kā'be ke muñh apnā chhupāne meñ lage haiñ
duniyā to amīroñ kī taraf dekh rahī hai
vo naaz ġharīboñ ke uThāne meñ lage haiñ
hai pesh-e-nazar rauza-e-āqā jo 'shamīm' aaj
jazbāt mire ashk bahāne meñ lage haiñ
aa'mal ke sae to Darane mein lage hain
sarkar magar mujh ko bachane mein lage hain
hai rahmat-e-kaunain ki kaunain mein aamad
'ushshaq dar-o-baam sajaane mein lage hain
kasrat se jo paDhte hain darud-e-shah-e-batha
wo log muqaddar ko jagane mein lage hain
hathon mein liye kausar-o-tasnim ke saghar
wo tishna-labi sab ki bujhane mein lage hain
sarkar ke aane ki KHabar jab se mili hai
but ka'be ke munh apna chhupane mein lage hain
duniya to amiron ki taraf dekh rahi hai
wo naz gharibon ke uThane mein lage hain
hai pesh-e-nazar rauza-e-aqa jo 'shamim' aaj
jazbaat mere ashk bahane mein lage hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.