aankhon mein kuchh is tarh sama jae madina
āñkhoñ meñ kuchh is tarh samā jaa.e madīna
dekhūñ maiñ jidhar mujh ko nazar aa.e madīna
hai dil ke qarīñ barq-e-tajallā-e-madīna
hai sall-e-'alā anjuman-ārā-e-madīna
maiñ mad.h-sarā josh-e-‘aqīdat se huuñ varna
ye merī zabāñ aur suḳhan-hā-e-madīna
haañ dil hai vahī jis meñ madīne kī lagan ho
haañ sar hai vahī jis meñ ho saudā-e-madīna
baḌhtā hī rahe silsila-e-shauq-e-huzūrī
uThtā hī rahe dard-e-tamannā-e-madīna
samjhūñ maiñ ise mo'jiza-e-qismat-e-bedār
mujh ko jo nazar ḳhvāb meñ aa jaa.e madīna
ik 'umr se bechain bahut jān-e-'hazīñ' hai
bas ik nazar-e-rahmat-e-āqā-e-madīna
aankhon mein kuchh is tarh sama jae madina
dekhun main jidhar mujh ko nazar aae madina
hai dil ke qarin barq-e-tajalla-e-madina
hai sall-e-'ala anjuman-ara-e-madina
main madh-sara josh-e-‘aqidat se hun warna
ye meri zaban aur suKHan-ha-e-madina
han dil hai wahi jis mein madine ki lagan ho
han sar hai wahi jis mein ho sauda-e-madina
baDhta hi rahe silsila-e-shauq-e-huzuri
uThta hi rahe dard-e-tamanna-e-madina
samjhun main ise mo'jiza-e-qismat-e-bedar
mujh ko jo nazar KHwab mein aa jae madina
ek 'umr se bechain bahut jaan-e-'hazin' hai
bas ek nazar-e-rahmat-e-aqa-e-madina
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.