aansu meri aankhon mein nahin aae hue hain
aañsū mirī āñkhoñ meñ nahīñ aa.e hue haiñ
dariyā tirī rahmat ke ye lahrā.e hue haiñ
allah rī hayā hashr meñ allāh ke aage
ham sab ke gunāhoñ pe vo sharmā.e hue haiñ
maiñ ne chaman-e-ḳhuld ke phūloñ ko bhī dekhā
sab aage tire chehre ke murjhā.e hue haiñ
bhātā nahīñ koī nazar aatā nahīñ koī
dil meñ vahī āñkhoñ meñ vahī chhā.e hue haiñ
raushan hue dil partav-e-ruḳhsār-e-nabī se
ye zarre usī mehr ke chamkā.e hue haiñ
shāhoñ se dabeñ kyā jo gadā haiñ tire dar ke
ye ai shāh-e-ḳhūbāñ tirī shah paa.e hue haiñ
aa.e haiñ jo vo be-ḳhudī-e-shauq ko sun kar
is vaqt 'amīr' aap meñ ham aa.e hue haiñ
aansu meri aankhon mein nahin aae hue hain
dariya teri rahmat ke ye lahrae hue hain
allah ri haya hashr mein allah ke aage
hum sab ke gunahon pe wo sharmae hue hain
main ne chaman-e-KHuld ke phulon ko bhi dekha
sab aage tere chehre ke murjhae hue hain
bhata nahin koi nazar aata nahin koi
dil mein wahi aankhon mein wahi chhae hue hain
raushan hue dil partaw-e-ruKHsar-e-nabi se
ye zarre usi mehr ke chamkae hue hain
shahon se daben kya jo gada hain tere dar ke
ye ai shah-e-KHuban teri shah pae hue hain
aae hain jo wo be-KHudi-e-shauq ko sun kar
is waqt 'amir' aap mein hum aae hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.