bilal-o-bu-zar-o-salman ke aaqa idhar bhi
bilāl-o-būzar-o-salmān ke aaqā idhar bhī
badal jaatī hai jis se dil kī duniyā-o-nazar bhī
maiñ bismillāh likh ke jab bhī likhtā huuñ mohammad
qalam qirtās par aate haiñ jhuk jaatā hai sar bhī
haram se masjid-ul-aqsā udhar sidra se aage
musāfir bhī 'ajab thā aur 'ajab thī rah-guzar bhī
mohammad ke ḳhudā jab bhī kabhī mushkil kā vaqt aa.e
du'ā ko haath uTTheñ aur du'ā meñ ho asar bhī
ba-haqq-e-kafsh-bardārān-e-darbār-e-risālat
sanā-ḳhvānoñ meñ shāmil ho gayā ik be-hunar bhī
maiñ pahle bhī musharraf ho chukā huuñ hāzirī se
ḳhudā chāhe to ye ne'mat mile bār-e-digar bhī
bilal-o-buzar-o-salman ke aaqa idhar bhi
badal jati hai jis se dil ki duniya-o-nazar bhi
main bismillah likh ke jab bhi likhta hun mohammad
qalam qirtas par aate hain jhuk jata hai sar bhi
haram se masjid-ul-aqsa udhar sidra se aage
musafir bhi 'ajab tha aur 'ajab thi rah-guzar bhi
mohammad ke KHuda jab bhi kabhi mushkil ka waqt aae
du'a ko hath uTThen aur du'a mein ho asar bhi
ba-haqq-e-kafsh-bardaran-e-darbar-e-risalat
sana-KHwanon mein shamil ho gaya ek be-hunar bhi
main pahle bhi musharraf ho chuka hun haziri se
KHuda chahe to ye ne'mat mile bar-e-digar bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.