dil mein ulfat rakhe nabi ke liye
dil meñ ulfat rakhe nabī ke liye
ye hī behtar hai aadmī ke liye
jitnī un ke liye hai is dil meñ
utnī chāhat nahīñ kisī ke liye
maulā baḳhshegā saarī ummat ko
apne mahbūb kī ḳhushī ke liye
jis meñ pyāre nabī kā rauza hai
dil hai betāb us galī ke liye
ek duniyā hī pe nahīñ mauqūf
saare 'ālam bane nabī ke liye
koī momin ho chāhe ho kāfir
vo to rahmat haiñ har kisī ke liye
chashm-o-dil donoñ vā haiñ 'hātif' ke
mere sarkār aap hī ke liye
dil mein ulfat rakhe nabi ke liye
ye hi behtar hai aadmi ke liye
jitni un ke liye hai is dil mein
utni chahat nahin kisi ke liye
maula baKHshega sari ummat ko
apne mahbub ki KHushi ke liye
jis mein pyare nabi ka rauza hai
dil hai betab us gali ke liye
ek duniya hi pe nahin mauquf
sare 'alam bane nabi ke liye
koi momin ho chahe ho kafir
wo to rahmat hain har kisi ke liye
chashm-o-dil donon wa hain 'hatif' ke
mere sarkar aap hi ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.