fazl itna mere aaqa mere sarwar kar den
fazl itnā mire aaqā mire sarvar kar deñ
mujh ko yak zarra-e-taiba ke barābar kar deñ
ham na 'attār na ḳhushbū ke haiñ tājir ham to
naa't ke she'r paḌheñ bazm mo'attar kar deñ
'arsh vāloñ meñ unheñ yaad kiyā jaatā hai
farsh vaale jo kahīñ zikr-e-payambar kar deñ
tum ko lenā hai agar qartaba-e-hind to aao
in baḌī chhoTī lakīroñ ko barābar kar deñ
'ishq kahte haiñ ise tiin sau terah uTh kar
parcham-e-dīn-e-nabī 'arsh barābar kar deñ
manziloñ duur madīne se sadā aa.ī 'hosh'
dushman-e-dīñ kī taraf sāriya lashkar kar deñ
fazl itna mere aaqa mere sarwar kar den
mujh ko yak zarra-e-taiba ke barabar kar den
hum na 'attar na KHushbu ke hain tajir hum to
na't ke she'r paDhen bazm mo'attar kar den
'arsh walon mein unhen yaad kiya jata hai
farsh wale jo kahin zikr-e-payambar kar den
tum ko lena hai agar qartaba-e-hind to aao
in baDi chhoTi lakiron ko barabar kar den
'ishq kahte hain ise tin sau terah uTh kar
parcham-e-din-e-nabi 'arsh barabar kar den
manzilon dur madine se sada aai 'hosh'
dushman-e-din ki taraf sariya lashkar kar den
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.