Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hath mein daman-e-shah-e-do-jahan rakhta hun main

Behzad Lakhnavi

hath mein daman-e-shah-e-do-jahan rakhta hun main

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    haath meñ dāmān-e-shāh-e-do-jahāñ rakhtā huuñ maiñ

    apne qabze meñ zamīn-o-āsmāñ rakhtā huuñ maiñ

    maiñ zabāñ ko sarf-e-āh-o-shor-o-shevan kyoñ karūñ

    sirf un naa't paḌhne ko zabāñ rakhtā huuñ maiñ

    merī kashtī chhoḌ de bat.hā jānib nā-ḳhudā

    apne dil meñ ḳhauf tūfāñ kahāñ rakhtā huuñ maiñ

    sarvar-e-kaun-o-makāñ par kyuuñ na sadqe jā.ūñ maiñ

    un ke sadqe meñ lab-e-gauhar-fashāñ rakhtā huuñ maiñ

    mujh ko to matlūb galiyāñ haiñ dayār-e-pāk

    duur dil se hasrat-e-kaun-o-makāñ rakhtā huuñ maiñ

    ye vo daulat hai ki jis par ganj-e-qārūñ bhī nisār

    dil meñ apne ‘ishq-e-ahmad ko nihāñ rakhtā huuñ maiñ

    varna ai 'bahzād' maiñ kyā kyā ye merī shā'irī

    faiz hai un jo ye nām-o-nishāñ rakhtā huuñ maiñ

    hath mein daman-e-shah-e-do-jahan rakhta hun main

    apne qabze mein zamin-o-asman rakhta hun main

    main zaban ko sarf-e-ah-o-shor-o-shewan kyon karun

    sirf un ki na't paDhne ko zaban rakhta hun main

    meri kashti chhoD de batha ki jaanib na-KHuda

    apne dil mein KHauf tufan ka kahan rakhta hun main

    sarwar-e-kaun-o-makan par kyun na sadqe jaun main

    un ke sadqe mein lab-e-gauhar-fashan rakhta hun main

    mujh ko to matlub galiyan hain dayar-e-pak ki

    dur dil se hasrat-e-kaun-o-makan rakhta hun main

    ye wo daulat hai ki jis par ganj-e-qarun bhi nisar

    dil mein apne ‘ishq-e-ahmad ko nihan rakhta hun main

    warna ai 'bahzad' main kya kya ye meri sha'iri

    faiz hai un ka jo ye nam-o-nishan rakhta hun main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now