hai qabil dekhne ke un ke jaan-bazon ki mahfil bhi
hai qābil dekhne ke un ke jāñ-bāzoñ kī mahfil bhī
ki nāloñ kā tarāna bhī hai is meñ raqs-e-bismil bhī
huzūrī kā sharaf darbār meñ mujh ko bhī mil jaatā
jahāñ haiñ jam.a sāhib-dil vahāñ ho ek be-dil bhī
unheñ matlab taḌapne se huzūrī ho ki duurī ho
ajab aafat kā parkāla bane haiñ hazrat-e-dil bhī
ham aise māñgne vaale ki māñgeñ jaa.eñ le le kar
tum aise dene vaale ho ki ġhash ho jaa.eñ saa.il bhī
nasīb aise kahāñ jo shāhid-e-maqsūd mil jaa.e
ġhanīmat hai agar ham ko nazar aa jaa.e mahmil bhī
guzar jaanā ḳhudī se aur aaqā tak pahuñch jaanā
yahī vo kaam hai jo sahl bhī hai aur mushkil bhī
tumhāre marne vaale marte haiñ taiba ke marne par
kareñ kyā le ke jannat jo nahīñ marne ke qābil bhī
tumhāre naam ke bande pale haiñ sadqe hone par
na dī jab zindagī tum ne to phir jiine se hāsil bhī
paḌe rahte kafan meñ muñh chhupā.e hashr meñ 'hāfiz'
siyah-rū ho nahīñ ye muñh to dikhlāne ke qābil bhī
hai qabil dekhne ke un ke jaan-bazon ki mahfil bhi
ki nalon ka tarana bhi hai is mein raqs-e-bismil bhi
huzuri ka sharaf darbar mein mujh ko bhi mil jata
jahan hain jama sahib-dil wahan ho ek be-dil bhi
unhen matlab taDapne se huzuri ho ki duri ho
ajab aafat ka parkala bane hain hazrat-e-dil bhi
hum aise mangne wale ki mangen jaen le le kar
tum aise dene wale ho ki ghash ho jaen sail bhi
nasib aise kahan jo shahid-e-maqsud mil jae
ghanimat hai agar hum ko nazar aa jae mahmil bhi
guzar jaana KHudi se aur aaqa tak pahunch jaana
yahi wo kaam hai jo sahl bhi hai aur mushkil bhi
tumhaare marne wale marte hain taiba ke marne par
karen kya le ke jannat jo nahin marne ke qabil bhi
tumhaare nam ke bande pale hain sadqe hone par
na di jab zindagi tum ne to phir jine se hasil bhi
paDe rahte kafan mein munh chhupae hashr mein 'hafiz'
siyah-ru ho nahin ye munh to dikhlane ke qabil bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.