hum apne kandhon pe bar-e-garan uThate hain
ham apne kāñdhoñ pe bār-e-garāñ uThāte haiñ
zamīñ pe rahte haiñ aur āsmāñ uThāte haiñ
ishāre naa't ke īmān vaalā samjhegā
zabāñ kā lutf kahīñ be-zabāñ uThāte haiñ
kahāñ chalī ga.ī bāzār-e-misr kī garmī
ye kaun aayā ki aazar dukāñ uThāte haiñ
ham apnī zaat kā ġham bhī uThā nahīñ paate
magar vo haiñ ki ġham-e-do-jahāñ uThāte haiñ
bhulā.e baiThe haiñ maġhrib kī bārishoñ kā 'azāb
aqīdatoñ kā jo be-chhat makāñ uThāte haiñ
jhamakne lagtā hai vo āstāñ nigāhoñ meñ
savāl sajdoñ kā jab āstāñ uThāte haiñ
nabī ke 'ishq kā sarmāya jin ke paas nahīñ
sunā lahad meñ baḌī saḳhtiyāñ uThāte the
'ajab nahīñ vo sar-e-hashr sarfarāz kare
hamārā naaz shah-e-ins-o-jāñ uThāte haiñ
'ra.īs' hī sahī lekin faqīr-e-taiba huuñ
vo jānte nahīñ jo uñgliyāñ uThāte haiñ
hum apne kandhon pe bar-e-garan uThate hain
zamin pe rahte hain aur aasman uThate hain
ishaare na't ke iman wala samjhega
zaban ka lutf kahin be-zaban uThate hain
kahan chali gai bazar-e-misr ki garmi
ye kaun aaya ki aazar dukan uThate hain
hum apni zat ka gham bhi uTha nahin pate
magar wo hain ki gham-e-do-jahan uThate hain
bhulae baiThe hain maghrib ki barishon ka 'azab
aqidaton ka jo be-chhat makan uThate hain
jhamakne lagta hai wo aastan nigahon mein
sawal sajdon ka jab aastan uThate hain
nabi ke 'ishq ka sarmaya jin ke pas nahin
suna lahad mein baDi saKHtiyan uThate the
'ajab nahin wo sar-e-hashr sarfaraaz kare
hamara naz shah-e-ins-o-jaan uThate hain
'rais' hi sahi lekin faqir-e-taiba hun
wo jaante nahin jo ungliyan uThate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.