hum hain tasawwuraat ki jannat liye hue
ham haiñ tasavvurāt kī jannat liye hue
āñkheñ haiñ band jalva-e-rahmat liye hue
pahoñche hue haiñ aap dayār-e-habīb meñ
us taḳht-e-nā-rasā kī shikāyat liye hue
dīvāna-vār aa hī gayā un kī bazm meñ
ik rū-siyāh hasrat-e-tā.at liye hue
ehsās itr-bez hai ambar-nishāñ ḳhayāl
baiThe haiñ ham madīne kī nik.hat liye hue
jaise ki sāmne mutabassim huzūr haiñ
aur ham haiñ ek ashk-e-nadāmat liye hue
yā-rab khule na aañkh ki baiThe hue haiñ ham
pesh-e-nazar jamāl-e-risālat liye hue
jaisā bhī kuchh hai aap kā hai aap ke sipurd
aaya hai apne aap ko 'shaukat' liye hue
hum hain tasawwuraat ki jannat liye hue
aankhen hain band jalwa-e-rahmat liye hue
pahonche hue hain aap dayar-e-habib mein
us taKHt-e-na-rasa ki shikayat liye hue
diwana-war aa hi gaya un ki bazm mein
ek ru-siyah hasrat-e-taat liye hue
ehsas itr-bez hai ambar-nishan KHayal
baiThe hain hum madine ki nikhat liye hue
jaise ki samne mutabassim huzur hain
aur hum hain ek ashk-e-nadamat liye hue
ya-rab khule na aankh ki baiThe hue hain hum
pesh-e-nazar jamal-e-risalat liye hue
jaisa bhi kuchh hai aap ka hai aap ke sipurd
aaya hai apne aap ko 'shaukat' liye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.