hashr mein mujhko bas itna aasra darkar hai
hashr mein mujhko bas itna aasra darkar hai
Peer Nasiruddin Shah Naseer
MORE BYPeer Nasiruddin Shah Naseer
hashr meñ mujh ko bas itnā aasrā darkār hai
iltifāt-e-shāfe'-e-roz-e-jazā darkār hai
aur us ko chāhiye kyā aur kyā darkār hai
vo nabī kā ho rahe jis ko ḳhudā darkār hai
jo mujhe le jaa.e un ke āstān-e-pāk tak
vo tamanna vo talab vo mudda.ā darkār hai
dil to hai ābād mahbūb-e-ḳhudā kī yaad se
merī āñkhoñ ko jamāl-e-mustafā darkār hai
vo jahāñ chāhe rahe jis ko nahīñ ishq-e-nabī
vo idhar aa.e jise lutf-e-ḳhudā darkār hai
jo nabī kā hai ham us ke banda-e-be-dām haiñ
har-nafas ham ko buzurgoñ kī duā darkār hai
maiñ madīne meñ abad kī niiñd so jā.ūñ 'nasīr'
rahne basne ko mujhe thoḌī sī jā darkār hai
hashr mein mujh ko bas itna aasra darkar hai
iltifat-e-shafe'-e-roz-e-jaza darkar hai
aur us ko chahiye kya aur kya darkar hai
wo nabi ka ho rahe jis ko KHuda darkar hai
jo mujhe le jae un ke aastan-e-pak tak
wo tamanna wo talab wo muddaa darkar hai
dil to hai aabaad mahbub-e-KHuda ki yaad se
meri aankhon ko jamal-e-mustafa darkar hai
wo jahan chahe rahe jis ko nahin ishq-e-nabi
wo idhar aae jise lutf-e-KHuda darkar hai
jo nabi ka hai hum us ke banda-e-be-dam hain
har-nafas hum ko buzurgon ki dua darkar hai
main madine mein abad ki nind so jaun 'nasir'
rahne basne ko mujhe thoDi si ja darkar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.