hina se hai ye teri surKH ai nigar angusht
hina se hai ye teri surKH ai nigar angusht
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
hinā se hai ye tirī surḳh ai nigār angusht
ki ho na panjā-e-marjāñ kī zīnhār angusht
hilāl-o-badr hoñ yakjā araq-fishānī ko
rakhe jabīñ pe jo tū kar ke tābdār angusht
bayāñ zarūr hai ab dast-e-teġh kā us ke
nikal ga.ī sipar-e-mah se jis kī paar angusht
mohammad-e-arabī mo.ajizoñ kā jis ke kabhī
na kar sake falak-e-pīr kā shumār angusht
chaman meñ us kī risālat kā jab kuchh aa.e hai zikr
alam kare hai shahādat kī shāḳh-sār angusht
vazīfa jis kā paḌhe hai ye dāna-e-shabnam
duā meñ jis kī hai khole hue chīnār angusht
agar ho mohra-e-gahvāra sang-e-farsh us kā
na chūse apnī kabhī tifl-e-shīr-ḳhvār angusht
uThā de gar kaf-e-afsos malne kī vo rasm
na hove phir kabhī angusht se do-chār angusht
hina se hai ye teri surKH ai nigar angusht
ki ho na panja-e-marjaan ki zinhaar angusht
hilal-o-badr hon yakja araq-fishani ko
rakhe jabin pe jo tu kar ke tabdar angusht
bayan zarur hai ab dast-e-tegh ka us ke
nikal gai sipar-e-mah se jis ki par angusht
mohammad-e-arabi moajizon ka jis ke kabhi
na kar sake falak-e-pir ka shumar angusht
chaman mein us ki risalat ka jab kuchh aae hai zikr
alam kare hai shahadat ki shaKH-sar angusht
wazifa jis ka paDhe hai ye dana-e-shabnam
dua mein jis ki hai khole hue chinar angusht
agar ho mohra-e-gahwara sang-e-farsh us ka
na chuse apni kabhi tifl-e-shir-KHwar angusht
uTha de gar kaf-e-afsos malne ki wo rasm
na howe phir kabhi angusht se do-chaar angusht
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.