jab shah-e-kaunain ki midhat ka darwaza khula
jab shah-e-kaunain kī mid.hat kā darvāza khulā
daf'atan allāh kī rahmat kā darvāza khulā
bā-vazū ho kar liyā nām-e-ḳhudā kī fikr jab
ḳhud-ba-ḳhud phir zehn meñ vus'at kā darvāza khulā
raushnī aisī huī zarre munavvar ho ga.e
jab rasūl-e-pāk kī sīrat kā darvāza khulā
aap kā farmān hī mere liye īmān hai
maañ ke qadmoñ meñ mirī jannat kā darvāza khulā
farq ahmad aur ahad kā jis pe zāhir ho gayā
miim kā parda uThā hairat kā darvāza khullā
hai karam un kā milī mujh ko du'ā māñ-bāp kī
jāh-o-hashmat ‘izzat-o-‘azmat kā darvāza khulā
zehn meñ jin ke mohammad mustafā kī yaad hai
un parindoñ ke liye rif'at kā darvāza khulā
aap ke naqsh-e-qadam par jo chale un ke tufail
tā-qayāmat baḳhshish-e-ummat kā darvāza khulā
ye shah-e-kaunain kī mujh par 'ināyat hai 'atīq'
kaun jaane kyoñ mirī shohrat kā darvāza khulā
jab shah-e-kaunain ki midhat ka darwaza khula
daf'atan allah ki rahmat ka darwaza khula
ba-wazu ho kar liya nam-e-KHuda ki fikr jab
KHud-ba-KHud phir zehn mein wus'at ka darwaza khula
raushni aisi hui zarre munawwar ho gae
jab rasul-e-pak ki sirat ka darwaza khula
aap ka farman hi mere liye iman hai
man ke qadmon mein meri jannat ka darwaza khula
farq ahmad aur ahad ka jis pe zahir ho gaya
mim ka parda uTha hairat ka darwaza khulla
hai karam un ka mili mujh ko du'a man-bap ki
jah-o-hashmat ‘izzat-o-‘azmat ka darwaza khula
zehn mein jin ke mohammad mustafa ki yaad hai
un parindon ke liye rif'at ka darwaza khula
aap ke naqsh-e-qadam par jo chale un ke tufail
ta-qayamat baKHshish-e-ummat ka darwaza khula
ye shah-e-kaunain ki mujh par 'inayat hai 'atiq'
kaun jaane kyon meri shohrat ka darwaza khula
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.