jidhar hans ke shah-e-umam dekhte hain
jidhar hañs ke shāh-e-umam dekhte haiñ
udhar rahmat-e-‘ām ham dekhte haiñ
habīb-e-ḳhudā kī navāzish ke sadqe
unheñ ḳhvāb meñ roz ham dekhte haiñ
unhīñ kī tamanna unhīñ kā tasavvur
unhīñ kī taraf dam-ba-dam dekhte haiñ
vo tā'līm-e-sabr-o-razā dī hai ham ko
na dukh dekhte haiñ na ġham dekhte haiñ
masīhā hai husn-e-tabassum nabī kā
ki ab dard-e-dil kam se kam dekhte haiñ
darūd un pe bhejeñ to rad hoñ balā.eñ
jo duniyā ke ranj-o-alam dekhte haiñ
baḌe karb meñ haiñ hasad karne vaale
ki rag-rag meñ ab nīsh-e-ġham dekhte haiñ
ġham-e-do-jahāñ 'ishq-e-ahmad meñ kyā hai
use naqsh-bar-āb ham dekhte haiñ
jo me'rāj meñ tum ne dekhe haiñ jalve
vo me'rāj kī raat ham dekhte haiñ
jinheñ daulat-e-chashm-e-bātin milī hai
vo sair-e-vujūd-o-'adam dekhte haiñ
mujāhid utarte haiñ jis mā'rke meñ
vo fat.h-o-zafar dam-ba-dam dekhte haiñ
na dār-o-rasan haiñ na dār-ul-mehan hai
yahāñ sab ko āzād ham dekhte haiñ
diye dars vo ‘ilm-o-hikmat ke tum ne
is ummat ko ḳhair-ul-umam dekhte haiñ
sahāba kī rif'at bayāñ kyā ho 'mahvī'
ki qadmoñ meñ ham tāj-e-jam dekhte haiñ
jidhar hans ke shah-e-umam dekhte hain
udhar rahmat-e-‘am hum dekhte hain
habib-e-KHuda ki nawazish ke sadqe
unhen KHwab mein roz hum dekhte hain
unhin ki tamanna unhin ka tasawwur
unhin ki taraf dam-ba-dam dekhte hain
wo ta'lim-e-sabr-o-raza di hai hum ko
na dukh dekhte hain na gham dekhte hain
masiha hai husn-e-tabassum nabi ka
ki ab dard-e-dil kam se kam dekhte hain
darud un pe bhejen to rad hon balaen
jo duniya ke ranj-o-alam dekhte hain
baDe karb mein hain hasad karne wale
ki rag-rag mein ab nish-e-gham dekhte hain
gham-e-do-jahan 'ishq-e-ahmad mein kya hai
use naqsh-bar-ab hum dekhte hain
jo me'raj mein tum ne dekhe hain jalwe
wo me'raj ki raat hum dekhte hain
jinhen daulat-e-chashm-e-baatin mili hai
wo sair-e-wujud-o-'adam dekhte hain
mujahid utarte hain jis ma'rke mein
wo fath-o-zafar dam-ba-dam dekhte hain
na dar-o-rasan hain na dar-ul-mehan hai
yahan sab ko aazad hum dekhte hain
diye dars wo ‘ilm-o-hikmat ke tum ne
is ummat ko KHair-ul-umam dekhte hain
sahaba ki rif'at bayan kya ho 'mahwi'
ki qadmon mein hum taj-e-jam dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.