jis ko hasil hain gham-e-saqi-e-kausar ke maze
jis ko hasil hain gham-e-saqi-e-kausar ke maze
Peer Nasiruddin Shah Naseer
MORE BYPeer Nasiruddin Shah Naseer
jis ko hāsil haiñ ġham-e-sāqī-e-kausar ke maze
us kī taqdīr meñ haiñ rahmat-e-dāvar ke maze
kisī nazzāre kā lutf us ko na manzar ke maze
jis kī nazroñ ko mile us ruḳh-e-anvar ke maze
dekhtā rahtā hai har dam tire māthe kī shikan
aa.ina luuT rahā hai tire tevar ke maze
aa.ī gardish meñ kuchh is shaan se chashm-e-rahmat
mai-kada bhuul gayā bāda-o-sāġhar ke maze
girte paḌte dar-e-sarkār tak aa pahuñchā hai
ham se pūchhe koī ik tā.ir-e-be-par ke maze
un kī zulfoñ se jo mil jaa.e mahaktī ḳhairāt
bhuul jaa.e ye sabā bū-e-gul-e-tar ke maze
us ko phir aur koī martaba darkār nahīñ
jis kī qismat meñ likhe jaa.eñ tire dar ke maze
kyā kaheñ rāh-e-madīna hai muqaddas kitnī
bhūlte hī nahīñ us jāda-e-at.har ke maze
un kī manzil bhī madīna hai vatan bhī hai yahī
haiñ yahāñ āl-e-mohammad ke liye ghar ke maze
sajda-e-shauq kā armān idhar le pahuñchā
un ke dar par haiñ 'nasīr' ab to mire sar ke maze
jis ko hasil hain gham-e-saqi-e-kausar ke maze
us ki taqdir mein hain rahmat-e-dawar ke maze
kisi nazzare ka lutf us ko na manzar ke maze
jis ki nazron ko mile us ruKH-e-anwar ke maze
dekhta rahta hai har dam tere mathe ki shikan
aaina luT raha hai tere tewar ke maze
aai gardish mein kuchh is shan se chashm-e-rahmat
mai-kada bhul gaya baada-o-saghar ke maze
girte paDte dar-e-sarkar tak aa pahuncha hai
hum se puchhe koi ek tair-e-be-par ke maze
un ki zulfon se jo mil jae mahakti KHairaat
bhul jae ye saba bu-e-gul-e-tar ke maze
us ko phir aur koi martaba darkar nahin
jis ki qismat mein likhe jaen tere dar ke maze
kya kahen rah-e-madina hai muqaddas kitni
bhulte hi nahin us jada-e-athar ke maze
un ki manzil bhi madina hai watan bhi hai yahi
hain yahan aal-e-mohammad ke liye ghar ke maze
sajda-e-shauq ka arman idhar le pahuncha
un ke dar par hain 'nasir' ab to mere sar ke maze
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.