jis mein tera aks utar gaya hai
jis meñ tirā aks utar gayā hai
ā.īna vahī sañvar gayā hai
jo naam pe tere mar gayā hai
duniyā meñ vo naam kar gayā hai
begāna rahā jo tere dar se
kam-baḳht vo dar-ba-dar gayā hai
jis ko bhī milā tirā safīna
ḳhush-baḳht vo yaar utar gayā hai
ā.īna-e-mustafā meñ aa kar
kyā jalva-e-haq nikhar gayā hai
bātil ko miTā ke haq kā parcham
tā-arsh buland kar gayā hai
haq tujh pe nisār aur haq par
sab kuchh tū nisār kar gayā hai
vo nuur ki thā hirā kī zīnat
kaunain pe ab bikhar gayā hai
firdaus-ba-kaf huiiñ vo rāheñ
jin rāhoñ se tū guzar gayā hai
kamyāb bahut thā nūr-e-yazdāñ
is nuur ko aam kar gayā hai
chaḌhtā huā ahraman kā dariyā
aate hī tire utar gayā hai
jibrīl kī sidra tak rasā.ī
tū duur se dūr-tar gayā hai
mast-e-mai-e-haq rah-e-fanā se
be-ḳhauf-o-ḳhatar guzar gayā hai
'sahbā.ī'-e-be-navā ke dil meñ
tū apnā hī nuur bhar gayā hai
jis mein tera aks utar gaya hai
aaina wahi sanwar gaya hai
jo nam pe tere mar gaya hai
duniya mein wo nam kar gaya hai
begana raha jo tere dar se
kam-baKHt wo dar-ba-dar gaya hai
jis ko bhi mila tera safina
KHush-baKHt wo yar utar gaya hai
aaina-e-mustafa mein aa kar
kya jalwa-e-haq nikhar gaya hai
baatil ko miTa ke haq ka parcham
ta-arsh buland kar gaya hai
haq tujh pe nisar aur haq par
sab kuchh tu nisar kar gaya hai
wo nur ki tha hira ki zinat
kaunain pe ab bikhar gaya hai
firdaus-ba-kaf huin wo rahen
jin rahon se tu guzar gaya hai
kamyab bahut tha nur-e-yazdan
is nur ko aam kar gaya hai
chaDhta hua ahraman ka dariya
aate hi tere utar gaya hai
jibril ki sidra tak rasai
tu dur se dur-tar gaya hai
mast-e-mai-e-haq rah-e-fana se
be-KHauf-o-KHatar guzar gaya hai
'sahbai'-e-be-nawa ke dil mein
tu apna hi nur bhar gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.