Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jitne Tapke aankh se ashk-e-nadamat dekhna

Haqqi Hazeen

jitne Tapke aankh se ashk-e-nadamat dekhna

Haqqi Hazeen

MORE BYHaqqi Hazeen

    jitne Tapke aañkh se ashk-e-nadāmat dekhnā

    ban ga.e sab mash'al-e-nūr-e-hidāyat dekhnā

    jazb-e-ulfat dekhnā shān-e-'aqīdat dekhnā

    ho ga.ī bā-vasf-e-dūrī un se qurbat dekhnā

    dil har hasrat had-e-lafz-o-bayāñ meñ aa ga.ī

    kitnī mā'nī-ḳhez hai ik un hasrat dekhnā

    un naam aate lab par aañkh pur-nam ho ga.ī

    mere jazbāt-e-‘aqīdat nazākat dekhnā

    vo shah-e-kaunain aur maiñ ik gadā-e-be-navā

    phir bhī hai un se mujhe ik ḳhaas nisbat dekhnā

    mujh se ‘isyāñ-kār bhī parda-poshī ho ga.ī

    dekhnā gunjā.ish-e-dāmān-e-rahmat dekhnā

    sar se tak ġharq-e-'isyāñ jis ko kahte haiñ 'hazīñ'

    aaj vo bhī mad.h-ḳhvāñ hai ye sa'ādat dekhnā

    jitne Tapke aankh se ashk-e-nadamat dekhna

    ban gae sab mash'al-e-nur-e-hidayat dekhna

    jazb-e-ulfat dekhna shan-e-'aqidat dekhna

    ho gai ba-wasf-e-duri un se qurbat dekhna

    dil ki har hasrat had-e-lafz-o-bayan mein aa gai

    kitni ma'ni-KHez hai ek un ki hasrat dekhna

    un ka nam aate hi lab par aankh pur-nam ho gai

    mere jazbaat-e-‘aqidat ki nazakat dekhna

    wo shah-e-kaunain aur main ek gada-e-be-nawa

    phir bhi hai un se mujhe ek KHas nisbat dekhna

    mujh se ‘isyan-kar ki bhi parda-poshi ho gai

    dekhna gunjaish-e-daman-e-rahmat dekhna

    sar se pa tak gharq-e-'isyan jis ko kahte hain 'hazin'

    aaj wo bhi madh-KHwan hai ye sa'adat dekhna

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now