kar lo nabi ke ishq ka sauda kisi tarah
kar lo nabī ke 'ishq kā saudā kisī tarah
is kārobār meñ nahīñ ghāTā kisī tarah
jī chāhtā hai jā ke madīne meñ paḌ rahūñ
duniyā se chhūT jaa.e jo pīchhā kisī tarah
shādābiyoñ se vādī-e-jāñ mo'tabar karūñ
āñkhoñ meñ rakh luuñ gumbad-e-ḳhazrā kisī tarah
kā'be kī 'azmatoñ se zarā haT ke sochiye
makke se kam nahīñ hai madīna kisī tarah
vo naqsh-e-pā jo raste se mujh ko lagā ga.e
be-rāh kar na paa.ī ye duniyā kisī tarah
jab tak jhukāv dil kā nabī kī taraf na ho
puurā na hogā koī bhī sajda kisī tarah
bechain kar rahī hai ziyārat kī aarzū
ho ḳhatm zindagī kā jhamelā kisī tarah
rakkhī ḳhudā ne is liye lazzat darūd meñ
bahle firāq meñ dil-e-shaidā kisī tarah
kashtī ko aag ham bhī lagā dete ai 'ra.īs'
karte jo paar hijr kā dariyā kisī tarah
kar lo nabi ke 'ishq ka sauda kisi tarah
is karobar mein nahin ghaTa kisi tarah
ji chahta hai ja ke madine mein paD rahun
duniya se chhuT jae jo pichha kisi tarah
shadabiyon se wadi-e-jaan mo'tabar karun
aankhon mein rakh lun gumbad-e-KHazra kisi tarah
ka'be ki 'azmaton se zara haT ke sochiye
makke se kam nahin hai madina kisi tarah
wo naqsh-e-pa jo raste se mujh ko laga gae
be-rah kar na pai ye duniya kisi tarah
jab tak jhukaw dil ka nabi ki taraf na ho
pura na hoga koi bhi sajda kisi tarah
bechain kar rahi hai ziyarat ki aarzu
ho KHatm zindagi ka jhamela kisi tarah
rakkhi KHuda ne is liye lazzat darud mein
bahle firaq mein dil-e-shaida kisi tarah
kashti ko aag hum bhi laga dete ai 'rais'
karte jo par hijr ka dariya kisi tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.