KHak-e-taiba meri aankhon ko mayassar ho jae
ḳhāk-e-taiba mirī āñkhoñ ko mayassar ho jaa.e
auj par shāh-e-umam merā muqaddar ho jaa.e
vo shahanshāh-e-zamāna hai zamāne vaalo
jo dar-e-shāh-e-madīna kā gadā ho jaa.e
parda chehre se haTā.eñ to ujālā phaile
kholeñ gesū to fazā saarī mo'attar ho jaa.e
sajda-e-ashk luTā.egā mirā dil aaqā
rauza-e-pāk nazar ko jo mayassar ho jaa.e
ġhair ābād mire qalb kā gosha gosha
shāh-e-kaunain kī yādoñ se mo'attar ho jaa.e
hai yahī 'arz-e-tamannā ki qazā se pahle
hāzirī shāh-e-'arab aap ke dar par ho jaa.e
un ke talvoñ se rahūñ maiñ bhī lipaT kar ai 'shamīm'
ḳhāk-e-taiba kī tarah merā muqaddar ho jaa.e
KHak-e-taiba meri aankhon ko mayassar ho jae
auj par shah-e-umam mera muqaddar ho jae
wo shahanshah-e-zamana hai zamane walo
jo dar-e-shah-e-madina ka gada ho jae
parda chehre se haTaen to ujala phaile
kholen gesu to faza sari mo'attar ho jae
sajda-e-ashk luTaega mera dil aaqa
rauza-e-pak nazar ko jo mayassar ho jae
ghair aabaad mere qalb ka gosha gosha
shah-e-kaunain ki yaadon se mo'attar ho jae
hai yahi 'arz-e-tamanna ki qaza se pahle
haziri shah-e-'arab aap ke dar par ho jae
un ke talwon se rahun main bhi lipaT kar ai 'shamim'
KHak-e-taiba ki tarah mera muqaddar ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.