Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHudaya nai zindagi chahta hun

Behzad Lakhnavi

KHudaya nai zindagi chahta hun

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    ḳhudāyā na.ī zindagī chāhtā huuñ

    faqat dil meñ hubb-e-nabī chāhtā huuñ

    mire dil meñ rahne de ishq-e-mohammad

    maiñ ai chārāgar kab kamī chāhtā huuñ

    madīne galiyāñ hoñ aur merā sar ho

    maiñ apne meñ ye be-ḳhudī chāhtā huuñ

    har ik zarra jin par kahe yā-mohammad

    vo jalvoñ tābindagī chāhtā huuñ

    mohammad ho mustafā ho ki ahmad

    har ik lafz par be-ḳhudī chāhtā huuñ

    guzar jaa.e jo sirf yād-e-nabī meñ

    maiñ haq se vahī zindagī chāhtā huuñ

    ho nām-e-mohamād se āġhāz jis

    maiñ 'bahzād' vo shā.erī chāhtā huuñ

    KHudaya nai zindagi chahta hun

    faqat dil mein hubb-e-nabi chahta hun

    mere dil mein rahne de ishq-e-mohammad

    main ai chaaragar kab kami chahta hun

    madine ki galiyan hon aur mera sar ho

    main apne mein ye be-KHudi chahta hun

    har ek zarra jin par kahe ya-mohammad

    wo jalwon ki tabindagi chahta hun

    mohammad ho ya mustafa ho ki ahmad

    har ek lafz par be-KHudi chahta hun

    guzar jae jo sirf yaad-e-nabi mein

    main haq se wahi zindagi chahta hun

    ho nam-e-mohamad se aaghaz jis ka

    main 'bahzad' wo shaeri chahta hun

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now