kiya tha nur jab allah ne paida mohammad ka
kiyā thā nuur jab allāh ne paidā mohammad kā
usī din se huā hai āshiq-e-shaidā mohammad kā
na ho zikr-e-mubārak aap kā vird-e-zabāñ kyūñkar
maiñ huuñ roz-e-azal se āshiq-e-shaidā mohammad kā
farishte qabr meñ pūchheñge gar mujh se to kah dūñgā
ki huuñ banda ḳhudā kā aur huuñ shaidā mohammad kā
ḳhudāyā jab mirī is qālib-e-ḳhākī se jaañ nikle
zabāñ par us ghaḌī jaarī rahe kalima mohammad kā
ḳhayāl-e-mehr-o-mah dil se to fauran bhuul jā.egā
nazar aa jā.egā jis dam tujhe rauza mohammad kā
bashar kī tāb-o-tāqat kyā jo likkhe na.at-e-ahmad ko
ḳhudā hī jāntā hai ḳhuub bas rutba mohammad kā
ḳhudā ne zāt-e-ahmad ko vo a.alā martaba baḳhshā
ki dam bharte haiñ har-dam hazrat-e-īsā mohammad kā
malā.ik ne kiyā thā is sabab se sajda-e-ādam
ki peshānī se un kī nuur thā paidā mohammad kā
ḳhudā bhī hashr meñ pūchhegā gar āshiq tū kis kā hai
to kah dūñgā mohammad kā mohammad kā mohammad kā
tamanna hai ki fauran jāñ-ba-haq taslīm ho jā.ūñ
nazar aa.e jo mujh ko 'shefta' rauza mohammad kā
kiya tha nur jab allah ne paida mohammad ka
usi din se hua hai aashiq-e-shaida mohammad ka
na ho zikr-e-mubarak aap ka wird-e-zaban kyunkar
main hun roz-e-azal se aashiq-e-shaida mohammad ka
farishte qabr mein puchhenge gar mujh se to kah dunga
ki hun banda KHuda ka aur hun shaida mohammad ka
KHudaya jab meri is qalib-e-KHaki se jaan nikle
zaban par us ghaDi jari rahe kalima mohammad ka
KHayal-e-mehr-o-mah dil se to fauran bhul jaega
nazar aa jaega jis dam tujhe rauza mohammad ka
bashar ki tab-o-taqat kya jo likkhe nat-e-ahmad ko
KHuda hi jaanta hai KHub bas rutba mohammad ka
KHuda ne zat-e-ahmad ko wo aala martaba baKHsha
ki dam bharte hain har-dam hazrat-e-isa mohammad ka
malaik ne kiya tha is sabab se sajda-e-adam
ki peshani se un ki nur tha paida mohammad ka
KHuda bhi hashr mein puchhega gar aashiq tu kis ka hai
to kah dunga mohammad ka mohammad ka mohammad ka
tamanna hai ki fauran jaan-ba-haq taslim ho jaun
nazar aae jo mujh ko 'shefta' rauza mohammad ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.