Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kiye ja saba tu madine ki baaten

Behzad Lakhnavi

kiye ja saba tu madine ki baaten

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    kiye sabā madīne bāteñ

    yahī haiñ yahī mere jiine bāteñ

    maiñ us par tasadduq maiñ qurbān us par

    mujhe jo sunā.e madīne bāteñ

    mujhe kyā zamāne bātoñ se matlab

    ye bāteñ nahīñ mere jiine bāteñ

    kiye madīne se ai aane vaale

    mohammad bāteñ madīne bāteñ

    ḳhudā tujh ko duniyā meñ ābād rakkhe

    sunā de mujhe kuchh madīne bāteñ

    mire qalb-e-betāb ko kahne vaale

    sukūñ baḳhshtī haiñ madīne bāteñ

    ḳhudā din vo laa.e ki 'bahzād' sun luuñ

    madīne meñ kar madīne bāteñ

    kiye ja saba tu madine ki baaten

    yahi hain yahi mere jine ki baaten

    main us par tasadduq main qurban us par

    mujhe jo sunae madine ki baaten

    mujhe kya zamane ki baaton se matlab

    ye baaten nahin mere jine ki baaten

    kiye ja madine se ai aane wale

    mohammad ki baaten madine ki baaten

    KHuda tujh ko duniya mein aabaad rakkhe

    suna de mujhe kuchh madine ki baaten

    mere qalb-e-betab ko kahne wale

    sukun baKHshti hain madine ki baaten

    KHuda din wo lae ki 'bahzad' sun lun

    madine mein ja kar madine ki baaten

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now