main to KHud un ke dar ka gada hun apne aaqa ko main nazr kya dun
main to KHud un ke dar ka gada hun apne aaqa ko main nazr kya dun
Iqbal Azeem
MORE BYIqbal Azeem
maiñ to ḳhud un ke dar kā gadā huuñ apne aaqā ko maiñ nazr kyā duuñ
ab to āñkhoñ meñ kuchh bhī nahīñ hai varna qadmoñ meñ āñkheñ bichhā duuñ
aane vaalī hai un kī savārī phuul na.atoñ ke ghar ghar sajā duuñ
mere ghar meñ añdherā bahut hai apnī palkoñ pe sham.eñ jalā duuñ
merī jholī meñ kuchh bhī nahīñ hai merā sarmāya hai to yahī hai
apnī āñkhoñ kī chāñdī bahā duuñ apne māthe kā sonā luTā duuñ
be-nigāhī pe merī na jaa.eñ dīda-var mere nazdīk aa.eñ
maiñ yahīñ se madīna dikhā duuñ dekhne kā salīqa sikhā duuñ
rauza-e-pāk pesh-e-nazar hai sāmne mere aaqā kā dar hai
mujh ko kyā kuchh nazar aa rahā hai tum ko lafzoñ meñ kaise batā duuñ
qāfile jā rahe haiñ madīne aur hasrat se maiñ tak rahā huuñ
yā lipaT jā.ūñ qadmoñ se un ke yā qazā ko maiñ apnī sadā duuñ
merī baḳhshish kā sāmāñ yahī hai aur dil kā bhī armāñ yahī hai
ek din un kī ḳhidmat meñ jā kar un kī na.ateñ unhī ko sunā duuñ
mere aañsū bahut qīmtī haiñ in se vābasta haiñ un kī yādeñ
in kī manzil hai ḳhāk-e-madīna ye guhar yuuñ hī kaise luTā duuñ
mujh ko 'iqbāl' nisbat hai un se jin kā har lafz jān-e-suḳhan hai
maiñ jahāñ na.at apnī sunā duuñ saarī mahfil kī mahfil jagā duuñ
main to KHud un ke dar ka gada hun apne aaqa ko main nazr kya dun
ab to aankhon mein kuchh bhi nahin hai warna qadmon mein aankhen bichha dun
aane wali hai un ki sawari phul naton ke ghar ghar saja dun
mere ghar mein andhera bahut hai apni palkon pe shamen jala dun
meri jholi mein kuchh bhi nahin hai mera sarmaya hai to yahi hai
apni aankhon ki chandi baha dun apne mathe ka sona luTa dun
be-nigahi pe meri na jaen dida-war mere nazdik aaen
main yahin se madina dikha dun dekhne ka saliqa sikha dun
rauza-e-pak pesh-e-nazar hai samne mere aaqa ka dar hai
mujh ko kya kuchh nazar aa raha hai tum ko lafzon mein kaise bata dun
qafile ja rahe hain madine aur hasrat se main tak raha hun
ya lipaT jaun qadmon se un ke ya qaza ko main apni sada dun
meri baKHshish ka saman yahi hai aur dil ka bhi arman yahi hai
ek din un ki KHidmat mein ja kar un ki naten unhi ko suna dun
mere aansu bahut qimti hain in se wabasta hain un ki yaaden
in ki manzil hai KHak-e-madina ye guhar yun hi kaise luTa dun
mujh ko 'iqbaal' nisbat hai un se jin ka har lafz jaan-e-suKHan hai
main jahan nat apni suna dun sari mahfil ki mahfil jaga dun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.