mohammad rahmatul-lilalamin hai
mohammad rahmatul-lil'ālamīñ hai
mohammad bādshāh-e-mursalīñ hai
mohammad ḳhātam-e-kul-ambiyā hai
mohammad nūr-e-rabb-al-ālamīñ hai
mohammad jaan hai jān-e-do-ālam
mohammad bā.is-e-duniyā-o-dīñ hai
ḳhudā rahmān hai donoñ-jahāñ meñ
mohammad rahmatul-lil'ālamīñ hai
mohammad kī ajab pyārī hai sūrat
ki shaidā jis pe sūrat-āfrīñ hai
mohammad ko banā kar haq ye bolā
mohammad sā do-ālam meñ nahīñ hai
mohammad yā-mohammad yā-mohammad
yahī dard-e-dil-o-jān-e-hazīñ hai
mohammad par fidā sau jaañ se 'ġhausī'
ye us kā jān-e-jāñ īmān-o-dīñ hai
mohammad rahmatul-lil'alamin hai
mohammad baadshah-e-mursalin hai
mohammad KHatam-e-kul-ambiya hai
mohammad nur-e-rabb-al-alamin hai
mohammad jaan hai jaan-e-do-alam
mohammad bais-e-duniya-o-din hai
KHuda rahman hai donon-jahan mein
mohammad rahmatul-lil'alamin hai
mohammad ki ajab pyari hai surat
ki shaida jis pe surat-afrin hai
mohammad ko bana kar haq ye bola
mohammad sa do-alam mein nahin hai
mohammad ya-mohammad ya-mohammad
yahi dard-e-dil-o-jaan-e-hazin hai
mohammad par fida sau jaan se 'ghausi'
ye us ka jaan-e-jaan iman-o-din hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.