mujhe bhi shauq hai aaqa ki ek nat likhun
mujhe bhī shauq hai aaqā kī ek na.at likhūñ
kalām-e-pāk meñ vārid sabhī sifāt likhūñ
siyāh zulf kī tafsīr ek raat likhūñ
ruḳh-e-rasūl ko maiñ nūr-e-kā.enāt likhūñ
ba-nām-e-tāhā-o-yāsīñ ba-nām-e-sarvar-e-dīñ
hayāt hī nahīñ arsa-gah-e-hayāt likhūñ
maiñ zāt-e-pāk kī taa.at ko āḳhirī dam tak
sukūn-e-qalb likhūñ mūjib-e-najāt likhūñ
navāzishāt-e-nazīr-o-bashīr likh luuñ jab
jamāliyāt likhūñ aur ḳhusūsiyāt likhūñ
sanā-e-ahmad-e-mursal meñ mahv ho jā.ūñ
ḳhudā ke baa'd faqat aap hī kī zaat likhūñ
mujhe bhi shauq hai aaqa ki ek nat likhun
kalam-e-pak mein warid sabhi sifat likhun
siyah zulf ki tafsir ek raat likhun
ruKH-e-rasul ko main nur-e-kaenat likhun
ba-nam-e-taha-o-yasin ba-nam-e-sarwar-e-din
hayat hi nahin arsa-gah-e-hayat likhun
main zat-e-pak ki taat ko aaKHiri dam tak
sukun-e-qalb likhun mujib-e-najat likhun
nawazishat-e-nazir-o-bashir likh lun jab
jamaliyat likhun aur KHususiyat likhun
sana-e-ahmad-e-mursal mein mahw ho jaun
KHuda ke ba'd faqat aap hi ki zat likhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.