na lunga ghair ka koi sahaara ya-rasulullah

na lunga ghair ka koi sahaara ya-rasulullah
Mohammad Abdul Qadir Adeeb
MORE BYMohammad Abdul Qadir Adeeb
na lūñgā ġhair kā koī sahārā yā-rasūlullāh
tumhāre hī sahāre kā hai yaarā yā-rasūlullāh
muqaddar ho mirā har dam sitāroñ kī tarah raushan
sadā ho auj par merā sitārā yā-rasūlullāh
nubuvvat kī gavāhī mil ga.ī shaqq-ul-qamar se jab
zamāna ho ke dīvāna pukārā yā-rasūlullāh
farishte dam-ba-ḳhud the nuur ko jab 'arsh par dekhā
tumhārā hī tumhārā thā nazāra yā-rasūlullāh
mire chāroñ taraf baḌhtī huī ātish nishānī hai
bachāo mujh ko tum hī ab ḳhudārā yā-rasūlullāh
mire aaqā mire daatā mire maulā mire maulā
tumhāre pyaar kā kab se huuñ maarā yā-rasūlullāh
bulā lo is 'adīb'-e-jāñ-balab ko apne hī dar par
nahīñ mumkin ghaḌī bhar bhī guzārā yā-rasūlullāh
na lunga ghair ka koi sahaara ya-rasulullah
tumhaare hi sahaare ka hai yara ya-rasulullah
muqaddar ho mera har dam sitaron ki tarah raushan
sada ho auj par mera sitara ya-rasulullah
nubuwwat ki gawahi mil gai shaqq-ul-qamar se jab
zamana ho ke diwana pukara ya-rasulullah
farishte dam-ba-KHud the nur ko jab 'arsh par dekha
tumhaara hi tumhaara tha nazara ya-rasulullah
mere chaaron taraf baDhti hui aatish nishani hai
bachao mujh ko tum hi ab KHudara ya-rasulullah
mere aaqa mere data mere maula mere maula
tumhaare pyar ka kab se hun mara ya-rasulullah
bula lo is 'adib'-e-jaan-balab ko apne hi dar par
nahin mumkin ghaDi bhar bhi guzara ya-rasulullah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.