nabi kaun yani rasul-e-karim
nabī kaun ya.anī rasūl-e-karīm
nubuvvat ke dariyā kā durr-e-yatīm
huā go ki zāhir meñ ummī laqab
pe 'ilm-e-ladunnī khulā dil pe sab
baġhair az likhe aur kahe be-raqam
chale hukm par us ke lauh-o-qalam
kiyā haq ne nabiyoñ kā sardār use
banāyā nubuvvat kā haqdār use
nubuvvat jo kī haq ne us par tamām
likhā ashrafunnās ḳhair-ul-anām
banāyā samajh-būjh kar ḳhuub use
ḳhudā ne kiyā apnā mahbūb use
kahūñ us ke rutbe kā kyā maiñ bayāñ
khaḌe hoñ jahāñ bāñdh saf mursalāñ
mohammad ke mānind jag meñ nahīñ
huā hai na aisā na hogā kahīñ
ye thā ramz us ke jo saayā na thā
ki rang-e-duī vaañ tak aaya na thā
na hone kā saa.e ke thā ye sabab
huā sarf ka.abe kī poshish meñ sab
na Daalī kisī shaḳhs par apnī chhāñv
kisī kā na muñh dekhā dekh us ke paañv
vo hotā zamīñ-gīr kyā farsh par
qadam us ke saa.e kā thā arsh par
jahāñ tak ke the yaañ ke ahl-e-nazar
samajh māya-e-nūr kuhl-ul-basar
sabhoñ ne liyā putliyoñ se uThā
zamīñ par na saa.e ko girne diyā
siyāhī kī putlī kā hai ye sabab
vahī saaya phirtā hai āñkhoñ meñ ab
vagarna ye thī chashm apnī kahāñ
usī se to raushan hai saarā jahāñ
nabi kaun yani rasul-e-karim
nubuwwat ke dariya ka durr-e-yatim
hua go ki zahir mein ummi laqab
pe 'ilm-e-ladunni khula dil pe sab
baghair az likhe aur kahe be-raqam
chale hukm par us ke lauh-o-qalam
kiya haq ne nabiyon ka sardar use
banaya nubuwwat ka haqdar use
nubuwwat jo ki haq ne us par tamam
likha ashrafunnas KHair-ul-anam
banaya samajh-bujh kar KHub use
KHuda ne kiya apna mahbub use
kahun us ke rutbe ka kya main bayan
khaDe hon jahan bandh saf mursalan
mohammad ke manind jag mein nahin
hua hai na aisa na hoga kahin
ye tha ramz us ke jo saya na tha
ki rang-e-dui wan tak aaya na tha
na hone ka sae ke tha ye sabab
hua sarf kabe ki poshish mein sab
na Dali kisi shaKHs par apni chhanw
kisi ka na munh dekha dekh us ke panw
wo hota zamin-gir kya farsh par
qadam us ke sae ka tha arsh par
jahan tak ke the yan ke ahl-e-nazar
samajh maya-e-nur kuhl-ul-basar
sabhon ne liya putliyon se uTha
zamin par na sae ko girne diya
siyahi ki putli ka hai ye sabab
wahi saya phirta hai aankhon mein ab
wagarna ye thi chashm apni kahan
usi se to raushan hai sara jahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.