phir yaad jo aai hai madine ki bulane
phir yaad jo aa.ī hai madīne kī bulāne
kyā yaad kiyā phir mujhe shāh-e-do-sarā ne
aisā hai to phir fikr hai kyoñ zād-e-safar kī
kyā ġhaib ke khul jā.eñge mujh par na ḳhazāne
maiñ ġhalba-e-ā'dā se Darā huuñ na darūñgā
ye hausla baḳhshā hai mujhe sher-e-ḳhudā ne
thā shab ko jo maiñ hāzir-e-darbār-e-mohammad
chhoḌā hai asar dil pe 'ajab us kī fazā ne
'hasrat' mujhe us jān-e-jahāñ se hai ta'alluq
samjhe ki na samjhe koī jaane ki na jaane
phir yaad jo aai hai madine ki bulane
kya yaad kiya phir mujhe shah-e-do-sara ne
aisa hai to phir fikr hai kyon zad-e-safar ki
kya ghaib ke khul jaenge mujh par na KHazane
main ghalba-e-a'da se Dara hun na darunga
ye hausla baKHsha hai mujhe sher-e-KHuda ne
tha shab ko jo main hazir-e-darbar-e-mohammad
chhoDa hai asar dil pe 'ajab us ki faza ne
'hasrat' mujhe us jaan-e-jahan se hai ta'alluq
samjhe ki na samjhe koi jaane ki na jaane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.