phulon mein tazgi hai bahaaron mein mastiyan
phūloñ meñ tāzgī hai bahāroñ meñ mastiyāñ
nā't-e-rasūl paḌhtī haiñ taiba kī titliyāñ
ham 'āsiyoñ se kyā ho bayāñ 'azmat-e-rasūl
pūchhe koī ḳhudā se nabī kī bulandiyāñ
sābir the is qadar ki nahīñ sabr kī misāl
un ko bhī dī du'ā.eñ jinhoñ ne dī gāliyāñ
rahmat ke pālne meñ the sarkār jalva-gar
hūreñ sunā rahī thiiñ hama-vaqt loriyāñ
lab par ho us ghaḌī mire kalima huzūr kā
bañdh jaa.eñ jis ghaḌī mirī sāñsoñ meñ hichkiyāñ
rakh kar maiñ sar pe kartā tavāf-e-jahāñ 'shamīm'
mil jātīñ mustafā ke jo paañv kī jūtiyāñ
phulon mein tazgi hai bahaaron mein mastiyan
na't-e-rasul paDhti hain taiba ki titliyan
hum 'asiyon se kya ho bayan 'azmat-e-rasul
puchhe koi KHuda se nabi ki bulandiyan
sabir the is qadar ki nahin sabr ki misal
un ko bhi di du'aen jinhon ne di galiyan
rahmat ke palne mein the sarkar jalwa-gar
huren suna rahi thin hama-waqt loriyan
lab par ho us ghaDi mere kalima huzur ka
bandh jaen jis ghaDi meri sanson mein hichkiyan
rakh kar main sar pe karta tawaf-e-jahan 'shamim'
mil jatin mustafa ke jo panw ki jutiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.